Mahboob-e-Kibrya say mera salam kehna
Sultan-e-Anbiya say mera salam kehna
Tujh par khuda ki Rahmat Aye Aazim Madeena Noor-e-Muhammadi say Roshan ho Tera Seena
Jab Sahil-e-Arab par punhunchay Tera Safeena Is waqat Sar jhuka kar Lillah ba Qareena
Mahboob-e-Kibrya say Mera Salam kehna
Sultan-e-Anbiya say mera Salam kehna
Sahil pe Aatay Aatay mojoon ko choom laina
Mojoon kay bad dilkash zarroon ko choom laina
Is pak sar zameen ki Rahoon ko choom laina
Pholoon ko choom laina Kantoon ko choom laina
Mahboob-e-Kibrya say mera Salam kehna
Sultan-e-Anbiya say mera salam kehna
Rah-e-Talab ki Lazzat jab Qal’b ko Maza day
Ish’q-e-Nabi Mursal jab Rooh ko Jila day Jab soz-e-Aashiqana Jazbat ko jaga day hasti ka Zarrah Zarrah jab Aah ki Sada day
Washam’s ki dhia say mera salam kehna
Sultan-e-Anbiya say mera salam kehna
Darbar-e-Mustafa ki Hasil ho jab Huzoori Paish-e-Nazar ho jis dam wo bargah-e-Noori
Ho Door Ranj-o-kulfat Mit jaye fikr-e-doori Deedar-e-Mustafa ki jab Aarzoo ho Poori
Mahboob-e-Kibriya say mera salam kehna
Sultan-e-Anbiya say mera salam kehna
Rozay ki jaliyoon kay jis dam qareeb ja Ro Ro ke hal-e-Muslim sarkar ko sunana
Bay sakhta machlna josh-e-junoon dikhana seenay man bhi basana Aankhoon man bhi basana
Phir noor-e-haq Numa say mera say salam kehna
Sultan-e-Anbiya say mera salam kehna