Mein to khud un ke derka gadda hon –apne aaqa ko mein Nazar kya dun
ab to aankhon mein kuch bhi nahi hai warna qadmon mein ankhen bichadun
anay wali hai un ki sawari phool naton ke ghar ghar sajadun
mere ghar mein andhera bohat hai apni palkon pay shammen jladon
meri jholi mein kuch nahi hai mera sarmaya hai to yahi hai
apni aankhon ki chandi bahadoo –apne maathey ka sona lutadun
be nighai pay meri nah jayen deedaa dar mere nazdeek ayen
mein yahin se madinah dikhadun dekhnay ka saleeqa sikhado
roza pak pishِ nazar hai samnay mere aaqa ka dar hai
mujh ko kya kuch nazar araha hai tum ko lafzon mein kaisay btadon
qaafley ja rahay hain madeeney aur hasrat se mein tak raha ho
ya lapat jaoon qadmon se un ke ya qaza ko mein apni sada dun
meri bakhshish ka saman yahi hai aur dil ka bhi arman yahi hai
bas aik din un ki khidmat mein ja kar un ki naatain unhi ko suna dun
mere ansoo bohat qeemti hain un se wabasta hain un ki yaden
un ki manzil hai khaak madinah yeh Gohr yun hi kaisay lutadun
mujh ko Iqbal nisbat hai un se jin ka har lafz jaan-e sukhan hai
mein jahan naat apni sunadun saari mehfil ki mehfil jagadun