Mujdah abad aye aasio! Shafie’a shah-e-abraar hay
Tuhniat aye mujrimo! Zaat-e-Khuda Gaffar hay
Ar’sh safrash zameen hay farsh pa arsh bareen
Kia niraali tarz ki Naam-e-Khuda riftaar hay
Chand shaq ho pairh bolain janwar sajday karain
BarkAllah marji-e-aalam yehi sarkaar hay
Jin ko suno-e-aasmaan phaila kay jal thal bhar diay
Sadqah un haathoon ka piyaray ham ko bhi darkaar hay
Lab zalaal-e-chashma kun man gandhay waqat-e-khameer
Murday zindah karna aye jaan tum ko kia dushwaar hay
Goray goray paaon chamka do Khuda kay waastay
Noor ka tarhka ho piyaray gor ki shab taar hay
Teray hi daaman pe har aasi ki parhti hay nazar
Ayek jaan-e-bay khata par do jahan ka baar hay
Josh-e-toofaan bahar-e-bay payaan huwa nasaaz gar
Nooh kay mola karam kar lay to bairha paar hay
Rahmatullil aalmeen teri dihaye dab gaya
Ab tu mola bay tarah sar par gunah ka baar hay
Hairatain hain aayenah daar-e-wa for-e-wasaf-e-gul
Un kay bulbul ki khamoshi bhi lab-e-izhaar hay
Goonj gooj uthay hain nagmaat-e-Raza say bostaan
Kiyoon na ho kis phool ki madhat man wa minqaar hay