Musht-e-gubar-e-khaak aur tera bayan-e-bartari
Khaliq-e-kul kalaam say kun karay ga hamsri
Hamd-e-Khuda-e- لَمْ یَزلْ teri sana-e-dilruba
Wahi-e- وحیِ الٰہ العالمیںteri zaban-e-dilbari
Teri urooj ki khabar rooh-e-qudus na pa saki
Dawa-e-ma’rfat ko hay paish tiray subuk sari
Kalma la shareek man’ Zik’r tera shareek hay
Manzil la ilaah tak, to hi nishan-e-rahbari
Qlab hay kasa-e-gada, sast-e-sawal hay wujood
Rooh, faqeer-e-Aastaan’ ish’q tera tongari
Zik’r-e-Habeeb-e-kibriya’ madah-o-sana-e-Mustafa
Mera shauoor-e-fik’r-o-fan, mera Zameer-e-shayeri
Sada lab pe ho jab sadaye Madeenah
Kahan chain dil ko siwaye Madeenah
Chalay Aaj ayesi hawaye Madeenah
Urhaye hamain lay kay jaye Madeenah
Baraye Madeenah binaye do Aalam
Binaye do aalam baraye Madeenah
Haram ka pata mujh say kiyoon poochtay ho
Mera dil hay qibla numaye Madeenah
Gunah gar kay dil man dozakh ki aatash
Lagaye zamana’ bujhaye Madenah
Madeenay ka banda Madeenay hi puhunchay
Bas itna karam kar, khudaye Madeenah
Qadam choom loon bay watan karnay walay
Mujhay day agar to’ sazaye Madeenah
Kahin to gunah garoon ka ho thikana
Khuda nay rakhi yoon’ binaye Madeenah
Girftar ko ab girftar rkhiye
Kahan jaye ga phir rihaye Madenah
Wo طلع wo بدر علینا kay nagmay
Kuja ham kuja wo sanaye Madeenah
Adeeb hashar man zayer-e-Saya rahain gay
Tani hogi sar par ridaye Madeenah