Nabi sarwar-e-har Rasool-o-wali hay Nabi raaz dar-e- مَعَ اللہ لِی hay
Wo Naami ke Naam-e-Khuda Naam tera Raouf-o-Raheem-o-Aleem –o-Ali hay
Hay baitaab jis kay liye ar’sh-e-azam wo raharwe laa makaan ki gali hay
Nakeerain kartay hain taazeem meri fida ho kay tujh par ye izzat milay hay
Talatum hay kashti pe toofaan-e-gam ka ye kesi hawaye mukhalif chali hay
Na kiyoon kar kahoon یَا حَبِیْبی اَغِثْنِیْ isi Naam say har museebat tali hay
Saba hay mujhay sarsar-e-dasht-e-Tayyibah isi say kali meray dil ki khili hay
Teray chaaroon hamdam hain yak jaan yak dil Abu bakar farooq Usman Ali hay
Khuda nay kia tujh ko aagaah sab say do Aalam man jo kuch khafi-o-jali hay
Karoon ar’z kia tujh say aye aalim-ul-sirr ke tujh par meri haalat-e-dil khuli hay
Tamanna hay farmaye roz-e-mahshar ye teri rihaye ki chithi mili hay
Jo maqsad ziyaarat ka bar aaye phir jo na kuch qasad kijiye ye qasad-e-dili hay
Teray dar ka darbaan hay jibreel-e-azam tera madah khawaan har Nabi-o-wali hay
Shafaat karay hashar man jo Raza ki
Siwa teray kis ko ye qudrat mili hay