Phir kay gali gali tabah thokarain sab ki kahaye kiyoon
Dil ko jo aqal day Khuda teri gali say jaye kiyoon
Rukhsat-e-qafilah ka shaur gash say hamain uthaye kiyoon
Sotay hain un kay saya man koi hamain jagaye kiyoon
Bar na thay jaib ko paaltay hi gareeb ko
Royen jo ab naseeb ko chain kaho ganwayen kiyoon
Yaad-e-Huzoor ki qisim gaflit ayesh hay sitam
Khoob hain qyed-e-gam man ham koi hamain churhaye kiyoon
Daikh kay hazrat-e-Gani phail parhay faqeer bhi
Chaye hay ab to chawoni hashar hi aan na jaaye kiyoon
Jaan hay ishq-e-Mustafa roz fazoon karay Khuda
Jis ko ho dard ka mazah naaz-e-dawa uthaye kiyoon
Ham to hain aap dil fagaar gam man hansi hay naagawar
Chairh kay gul ko na bahar khoon hamain rulaye kiyoon
Ya to yoon hi tarhap kay jayen ya wohi daam say churhayen
Mannat-e-gair kiyoon uthayen koi tars jitaye kiyoon
Un kay jalal ka asar dil say lagaye hay qamar
Jo ke ho loot zakham par daag-e-jigar mitaye kiyoon
Khush rahay gul say andleeb kharim haram mujhay naseeb
Meri bala bhi zik’r par phool kay khaar khaye kiyoon
Gard-e-malaal agar dhulay dil ki agar khilay
Barq say aankh kiyoon jalay rozay pe muskraye kiyoon
Jaan-e-safar naseeb ko kis nay kaha mzay say so
Khatka agar sahar ka ho shaam say mot aaye kiyoon
Ab to na rok aye gani aadat-e-sag bigarh gaye
Meray kareem pehlay hi luqma-e-tar khilaye kiyoon
Raah-e-Nabi man kia kami farsh-e-biaadh deedah ki
Chadar-e-zill hay malgaji zer-e-qadam bichaye kiyoon
Sang-e-dar Huzoor say ham ko Khuda na sabar day
Jana hay sar ko ja chukay dil ko qaraar aaye kiyoon
Hay to Raza nara sitam juram pe gar lajayen ham
Koi bajaye soz, gam saaz tarb bajaye kiyoon