Pul se utaro raah guzar ko khabar nah ho
Jibreel par bichaeyin to par ko khabar nah ho
kaanta marey jigar se gham rozgaar ka
yun khech lijiye ke jigar ko khabar nah ho
faryaad ummati jo kere haal zaar mein
mumkin nahi ke kher bashar ko khabar nah ho
kehti thi yeh Buraq se is ki subk rawi
yun jaiye ke gird safar ko khabar nah ho
farmatay hain yeh dono hain sardar do jahan
ae murteza Ateeq o Umar ko khabar nah ho
gumaa day un ki wla mein kkhuda hamein
Dhoondha kere par apni khabar ko khabar nah ho
Aa dil haram se roknay walon se choup ke aaj
yun uth chalein ke pehlu o Bar ko khabar nah ho
Tayyar e haram hain yeh kahin rishte bapaa nah hon
yun dekhieye ke taar nazar ko khabar nah ho
ae khaar tayyiba dekh ke daman nah bhiig jaye
yun dil mein aa ke deedaa tar ko khabar nah ho
ae shoq dil yeh sajda gir un ko rava nahi
acha woh sajda kiijiye ke sir ko khabar nah ho
un ke siwa Raza ko yi haami nahi jahan
guzra kere pasar pay pidar ko khabar nah ho