Raskh-e-qamar rang rukh Aftab hoon
Zarrah tera jo aye shah-e-girdoon janaab hoon
Darr-e-najaf hoon gohar-e-pak-e-khoshab hoon
Yeni turaab-e-rah guzar bo turaab hoon
Gar aankh hoon to abar ki chasham pur aab hoon
Dil hoon to barq ka dil par iztiraab hoon
Khoonain jigar hoon tayer bay aashiyan shaha
Rang-e-paredah-e-rukh-e-gul ka jawaab hoon
Bay asal-o-bay subaat hoon bahar karam madad
Par wardah-e-kinaar suaraab-o-habab hoon
Ibrat fizaa hay sharam guna say mera sukoot
Goya lab-e-khamosh-e-lahad ka jawab hoon
Kiyoon nala-e-soz lay karoon kiyoon khoon-e-dil piyoon
Seekh kabaab hoon na man jaam sharaab hoon
Dil basta bay qaraar jigar chaak ashkbaar
Guncha hoon gul hoon barq-e-tapan hoon sahaab hoon
Mola dihaye nazroon say gir kar jala gulaam
Ashk-e-mujdah raseedah-e-chasham kabaab hoon
Mit jaye ye khudi to wo jalwa kahan nahi
Darda man Ap apni nazar ka hijaab hoon
Sadqay hoon is pe naar say daiga jo mukhlisi
Bulbul nahi ke aatish-e-gul par kabaab hoon
Qaalab tahi kiey hama aagosh hay hilaal
Aye shahsawaar tayyibah man teri rikaab hoon
Kia kia hain tujh say naaz teray qasar ko ke man
Ka’ba ki jaan ar’sh bareen ka jawab hoon
Shaha bujhay saqar meray ashkoon say taana man
Aab-e-abas chakeedah-e-chasham-e-kabaab hoon
Man to kaha hi chahoon ke banda hoon shaah ka
Par lutuf jab hya kehdain agar wo janaab “hoon”
Hasrat man khaak bosi tayyibah ki aye Raza
Tapka jo chasham-e-mahar say wo khoon-e-naab hoon