Roye rangin nazar aaya to chaman bhool gaye

Roye rangin nazar aaya to chaman bhool gaye
sungh kar zulff ki bo mushk Khitan bhool gaye

khawab mein dekh liye jab lab o dandan nabi
Laal ka dheyaan gaya dar Aden bhool gaye

naat goi mein hue mehv to paaya woh maza
masiwa is ke kal aqsam sukhan bhool gaye

koye tayyiba mein jo aa puhanche Anadel urr kar
dekh kar rang fiza yaad chaman bhool gaye

dar badar ho ke dar Shah pay jab ja puhanche
gham ghalat ho gaya sab ranj o mahan bhool gaye

roza e pak pay puhanche to yeh thandak pohanchi
soaz furqat nah raha dil ki jalan bhool gaye

ishhq suroor ne yeh taseer dikhayi Faaiq
soye tayyiba jo chalay hub watan bhool gaye


Warning: Use of undefined constant php - assumed 'php' (this will throw an Error in a future version of PHP) in /home/kalamdb/public_html/wp-content/themes/bulletin/urdu-single.php on line 46