Sar ta baqadam hay tan-e-sultaan-e-zaman phool
Lab phool dahan phool zaqan phool badan phool
Sadqay teray baag to kia laye hain ban phool
Is guncha-e-dil ko bhi to ayema ho ke ban phool
Tinka bhi hamaray to hilaye nahi hilta
Tum chaho to ho jaye abhi koh-e-mahan phool
Wallah jo mil jaye meray gul ka paseena
Mangay na kabhi itar na phir chahey dulhan phool
Dil basta-o-khoon gashta na khushboo na latafat
Kiyoon guncha kahoon hay meray Aaqa ka dahan phool
Shab yaad thi kin dantoon ki shabnam ke dam-e-subuh
Shokhan-e-bhari kay jurhwa han kiran phool
Dandaan-o-lab-o-zulf-o-rooh-e-shah kay fidaye
Hain darr-e-adan la’l yaman mushk-e-khatan phool
Boo ho kay nahan ho gay taab-e-Rukh-e-shah man
Lo ban gay hain ab to haseenoon ka dahan phool
Hoon baar-e-gunah say na khajal dosh-e-azeezan
Lillah meri na’ash kar aye jaan-e-chaman phool
Dil apna bhi shedaye hay is naakhin-e-paka
Itna bhi mah-e-no pen a aye charkh-e-kahan phool
Dil khol kay khoon ro lay gam-e-aariz shah man
Niklay to kahin hasrat-e-khoon na ba shudan phool
Kia gaza mala gard-e-Madeenah ka jo hay Aaj
Nikhray huay jo ban qiyamat ki phaban phool
Garmi ye qiyamat hay ke kaantay hain zuban par
Bulbul ko bhi aye saaqi suhba-o-laban phool
Hay kon ke girya karay ya fatiha ko aaye
Baikas kay uthaye teri rahmat kay bharan phool
Dil gam hay tujhay ghairay hain Khuda tujh ko wo chamkaye
Sooraj teray kharman ko banay teri kiran phool
Kia baat Raza is chamanistan-e-karam ki
Zehra hay kali jis man Hussain aur Hassan phool