Shor-e-mah-e-nosan kar tujh tak man dawan aaya
Saqi man teray sadqay may day ramzan aaya
Is gul kay siwa har phool bagosh giran Aaya
Daikhay hi gi aye bulbul jab waqat-e-fagan aaya
Jab baam-e-tajalli par wo nayyar-e-jaan Aaya
Sar tha jo gira jhuk kar dil tha jo tapan aaya
Jannat ko haram samjha aatay to yahan Aaya
Ab tak kay har ik ka munh kehta hoon kahan aaya
Tayyibah kay siwa sab baag pa maal-e-fana hoon gay
Daikho gay chaman walo! Jab ah’d-e-khazan Aaya
Saraawar wo sang-e-dar aankh aur wo bazam-e-Noor
Zalim ko watan ka dhiyan Aaya to kahan Aaya
Kuch naat kay tabqay ka Aalam hi nirala hay
Sakta man parhi hay aqal chakar man gumaan Aaya
Jalti thi zameen kesi thi dhoop karhi kesi
Lo wo qad-e-bay saya ab saya kanan Aaya
Tayyibah say ham aatay hain kahiye to janan walo
Kia daikh kay jeeta hay jo wan say yahan aaya
Lay toq-e-alam say ab aazad ho aye qamari
Chithi liye bakhshash ki wo sarw rawan Aaya
Naamah say Raza kay ab mit jawo buray kaamo
Daikho meray pallah par wo achay miyan aaya
Badkaar Raza Khush ho yad kaam bhalay hoon gay
Wo achay miyan piyara achoon ka miyaan Aaya