Suntay hain ke mahshar man sirf un ki rasaaye hay
Gar un ki rasaye hay lo jab tu ban aaye hay
Machla hay ke Rahmat nay umeed bandhaye hay
Kia baat teri mujrim kia baat banaye hay
Sab nay saf-e-mahshar man lalkaar dia ham ko
Aye bay kasoon kay aaqa ab teri duhaye hay
Yoon to sab unhi ka hay par dil ki agar poocho
Ye tootay huway dil hi khaas un ki kamaaye hay
Zayer gay bhi kab kay din dhalnay pe hay piyaaray
Uth meray akailay chal kia dair lagaye hay
Bazar-e-amal man to soda na bana apna
Sarkaar-e-karam tujh man ayebi ki samaaye hay
Girtay han huwoon ko mujdah sajday man giray mola
Ro r okay shafaat ki tamheed uthaye hay
Aye dil ye sulagna kia jalna hay to jal bhi uth
Dam ghutnay laga zaalim kia dhooni ramaaye hay
Mujrim ko na sharmaou ahbaab kafan dhak do
Munh daikh kay kia hoga parday man bhalaye hay
Ab aap hi sanbhalain to kaam apnay sanbhal jayen
Ham ne to kamaaye sab khailoon man ganwaaye hay
Aye ishq teray sadqay jalnay say chutay sastay
Jo aag bujha day gi wo aag lagaye hay
Hirs-o-hawas-e-bad say dil to bhi sitam kar lay
Tu hi nahi bay gana dunya hi paraaye hay
Ham dil jalay hain kis kay hat fitnoon kay par kaalay
Kiyoon phoonk doon ik uf say kia aag lagaye hay
Tayyibah na sahi afzal makkah hi barha zahid
Ham ishq kay banday hain kiyoon baat barhaye hay
Matla’e man ye shak kia tha Wallah Raza Wallah
Sirf un ki rasaye hay sirf un ki rsaye hay