Teri shan shan Yad-o-Ilahi too Barha Gareeb Nawaz hay Teri shan, shan Yad-o-Ilahi
Na ho kaba kiyoon tera Aastan, teri Nisbatain han qarar-e-Jaan
Teri Nisbatoon hi pe Naaz hay too Barha Gareeb Nawaz hay Teri shan, shan-e-Yad-o-Ilahi
Teri dar say Daag-e-Jabeen Mila, ye Nishan Kitna Haseen mila
Ye Naaz Hasil Naaz hay, Too barha Gareeb Nawaz hay
Teri shan, shan-e-Yad-o-Ilahi
Too Mueen Ummat-e-Mustafa, too Suboot-e-Rahmat-e-Mustafa
Too Ata-e-Meer-e-Hijaz hay Too Barha Gareeb Nawaz hay teri shan, shan-e-Yad-o-Ilahi
Hamain to nay Apna Bana lia, Gam do jahan say bacha lia
Tera dast jo do Raaz hay too Barha Gareeb Nawaz hay teri shan, shan-e-Yad-o-Ilahi
Teray kaif-e-Zikr say jhoom lain teray Aastanay ko choom lain
Yehi Aashiqoon ki Nimaz hay to Barha Gareeb Nawaz hay Teri shan, shan-e-Yad-o-Ilahi
Too Habeeb zaat-e-Ilah hay, Too hi baikasoon ki panah hay
Too Kareem-o-Bandah Nawaz hay, Too Barha Gareeb Nawaz hay Teri shan, shan-e-Yad-o-Ilahi
Jo suni Gaye sar-e-Karbala, hay Teri Sada bhi wo hai Sada
Wo hi Nagma wo hi Saaz hay too Barha Gareeb Nawaz hay Teri shan, Shan-e-Yad-o-Ilahi
Na Ginay Gaye wo shumar say, jo palay han Teray Diyar say
Darr-e-Faiz Aaj bhi Baaz hay Too Barha Gareeb Nawaz hay Teri shan, shan-e-Yad-o-Ilahi
Teri shan-e-Anjum Benwa, kisi Haal man bhi na likh saka
Too Khuda-e-Paak ka Raaz hay too Barha Gareeb nawaz hay
Teri shan, shan-e-Yad-o-Ilahi.