To jahan kahin bhi hay to jahan kahin raha

To jahan kahin bhi hay to jahan kahin raha
Na khiyal ki puhunch, na khird ko rasta
To kamand-e-Aagahi say buland hi raha
Koi justujoo man gum, koi ar’sh tak rasa
وَتُعِزُّ مَنۡ تَشَآءُ وَتُذِلُّ مَنۡ تَشَآءُؕ
Ye makaan-o-laa makaan ki abath hay guftugoo
Too hi Noor-e-mehroomah’ To hi gul ka rang-o-boo
Raha sab kay Roobaroo’ rahi phir bhi justujoo
Koi raah kho giya, koi tujh ko pagaya
وَتُعِزُّ مَنۡ تَشَآءُ وَتُذِلُّ مَنۡ تَشَآءُؕ
Mujhay sarfraz kar’ meray bakht ko jaga
Jo Azeez ho tujhay, wohi kar mujhay Ata
Jo tujhay pasand ho, usi raah par chala
Jo teray Gazab man hoon’ mujhay un say rakh juda
وَتُعِزُّ مَنۡ تَشَآءُ وَتُذِلُّ مَنۡ تَشَآءُؕ


Warning: Use of undefined constant php - assumed 'php' (this will throw an Error in a future version of PHP) in /home/kalamdb/public_html/wp-content/themes/bulletin/urdu-single.php on line 46