Utar kar un kay rukh ka Sadqa ye Noor ka bat raha

Utar kar un kay rukh ka Sadqa ye Noor ka bat raha tha barha
Ke chand sooraj machal machal kar jabeen ki kairaat mangtay thay
Wo hi to ab tak chalak raha hay wohi to jo ban tapak raha hay
Nahanay man jo gira tha pani katoray taroon nay bhar liye thay
Bacha jo talwoon ka un kay dhuwan bana wo Jannat ka rang wa rogan
Jinhoon ne doolha ka paye utran wo phool gulzar-e-Noor kay thay
Khabar ye Tahweel-e-mihir kit hi ke rut suhani gharhi phiray gi
Wahan ki poshaak zaib-e-tan ki yahan ka jorha barha chukay thay
Tajalli-e-haq ka sehra sar par Salat-o-tasleem ki nichawar
Do royah Qudsi jama kar kharhay salami key wastay thay
Jo ham bhi wahan hotay khaak-e-gulshan lipat kay qadmoon say laitay utran
Magar karain kia naseeb man to ye na muradi kay din likhay thay
Qaseeda-e-me’raaj part/4


Warning: Use of undefined constant php - assumed 'php' (this will throw an Error in a future version of PHP) in /home/kalamdb/public_html/wp-content/themes/bulletin/urdu-single.php on line 46