Wo matla’e paish karta hoon man tauseef-e-Muhammad man
Jo nazil ho raha hay qal’b par’ anwaar ki zad man
Bayan kesay ho kitna husun hay har khaal man khad man
Jamaal-e-haq taala jab huwa mozoon usi qad man
Na ho kiyoon Hamd par kursi nasheen ik meem shaha ban kar
Ke ayesa dilruba koi nahi tha shahar-e-abjad man
Sana-e-Mustafa man yoon mujhay mahsoos hota hay
Kharha hoon khushbuwon aur rang kay baraan-e-baihad man
Kushad-e-lab khudawanda yehi do laf’z hoon meray
Ik unkay lutuf bay had par ik unkay husun-e-bay had man
Qaza aye diyar-e-Mustafa man madah khawanoon ki kafan man laash ho, aur laash ho darbar-e-Ahmad man
Janazay man hoon Qudsi, paish-e-Qudsi Mustafa Khud hoon
Qaseedah parh rahi ho laash mari shaha ki Aamad man
Parhian صَل عَلٰی اِرْحَم لَنَا اِرْحَم لَنَا saaray
Utarain jab Adeeb-e-khush bayan ko log marqad man