Yaad-e-shafe-e-Muznabiyeen hay
Is dil man aur kuch nahi hay
Kis ka raqeeb dil bana jo
Mahboob-e-Rabb-al-aalmeen hay
Khursheed-o-Mahtab-o-anjum
Lakin tum ayesa ab nahi hay
Sadiyoon kay faslay hain phir bhi
Sayah hay door, wo Qareen hay
Ba’sat man Aakhir-ul-Zaman wo
Khilqat man Noor-e-Awwaleen hay
Wo Aasman hain ma’rfat kay
Bandah faqat, zameen zameen hay
Jab say miley hay un ki nisbat
Dunya apni haseen haseen hay
Ye sauz’ ye gadaz’ ye nam
Sab man kahan, kahin kahin hay
Nazaan hain ahle-e-ar’sh us par
Kehnay ko ye zameen, zameen hay
Naq’sh-e-qadam jahan jahan hain
Meri jabeen wahin wahin hay
Seekho andaaz iltija kay
Un kay yahan kami nahi hay
Isyan meray buhut hain, lakin
Wo رحمۃ اللّعالمیں hay
Dushma bhi keh rahay han jis ko
Sadiq hay wo, wohi ameen hay
Muthi man jiski sab kay dil hain
Dil man adeeb kay makeen hay