Yaad-e-watan sitam kia dasht-e-haram say laye kiyoon
Baithay bithaye bad naseeb sar pe bala uthaye kiyoon
Dil man to chot thi dabi haye gazab ubhar gaye
Poocho to aah-e-sard say thandhi hawa chalaye kiyoon
Chorh kay us haram ko aap ban man thagoon kay aabsoo
Phir kaho sar pe dhar kay haath lut gaye sab kamaye kiyoon
Baag arab ka sarw-e-naaz daikh liya hay warna aaj
Qamri jaan-e-gamzadah gooj kay chehchehaye kiyoon
Naam-e-Madeenah lay diya chalnay lagi Naseem khuld
Sozash-e-gam ko ham nay bhi kesi hawa bataye kiyoon
Kis ki nigaah ki haya phirti hay meri aankh man
Nargas-e-mast naaz nay mujh say nazar churaye kiyoon
Too ne to kar diya tabeeb aatash-e-seenah ka ilaaj
Aaj kay dood-e-aah man booye kabab aaye kiyoon
Fik’r-e-muaash bad bila hol maad jaan guza
Lakhoon bala man phansane ko Rooh badan man aaye kiyoon
Ho na ho aaj kuch mera zik’r Huzoor man huwa
Warna meri taraf khushi daikh kay muskraye kiyoon
Hoor jinan sitam kia tayyibah nazar man phir giya
Chairh kay pardah-e-hijaaz dais ki cheez gaye kiyoon
Gaflat-e-shaikh-e-shaab par hanstay hain tufail sheer khawar
Karne ko gud gudi abas aanay lagi bahaye kiyoon
Ar’z karoon Huzoor say dil ki to meri khair hay
Peeteti sar ko aarzoo dasht-e-haram say aaye kiyoon
Hasrat-e-no ka saaniha suntay hi dil bigarh giya
Ayesi mareez ko Raza marg-e-jawan sunaye kiyoon