Yadoon man wo shah’r-e-Madeenah manzar manzar Aaj bhi hay
Ayek Zamana guzra lakin’ Rooh Muattar Aaj bhi hay
Koi nazar khazra say uth kar us ky chehray par na gaye
Ye ihsas-e-Nadamat yaro chand kay rukh par Aaj bhi hay
Madah-e-Nabi ki Nagmah saraye Hamd-o-sana ki gul pashi
Kal bhi yehi tha apna muqaddar’ apna muqaddar Aaj bhi hay
Wo deedar ka mausam’ saqi paish-e-nazar aur jaam-e-deed
Barsoon bait gay us rut ko haath man sagar aaj bhi hay
Ah’d-e-adeeb aur madah-e-Muhammad koi Aaj ki baat nahi
Chodah sadiyoon say ye charcha yoonhi ghar ghar aaj bhi hay