Ye sun kay bay khud pukar utha Nisaar jaon kahan hain Aaqa!?
Phir in kay talwoon ka paon bosa ye meri Aankhoon kay din phiray thay
Jhuka tha mujray ko ar’sh-e-Aala giray thay sajday man bazam-e-bala
Ye Aankhain qadmoon say mal raha thaw o gird qurban ho rahay thay
Dhiayen kuch ar’sh par ye Aayen ke saari Qandeelain jhilmilayen
Huzoor-e-khurshaid kia chamkatay charag mun apna daikhtay thay!
Yehi saman tha ke peek-e-Rahmat, khabar ye laaya ke chliye Hazrat ﷺ
Tumhari khatir kushadah hain jo kaleem par band raastay thay
Barh aye Muhammad! Qareen ho Ahmad! Qareeb Aa Sarwar-e-Mumajjad!
Nisar jaon ye kia nida thi! Ye kia saman tha! Ye kia mazay thay!
Tabark Allahu shan teri Tujhi ko zaiba hay bay Niazi
Kahein to wo josh-e-Lan Tarani kahein Taqazay wisal kay thay
Qaseeda-e-me’raaj part/8