Ye zameen ye falak in say aagay talak jitne dunyien han
Sab man teri jhalak sab say lakin juda
Har sahar phootatey he naye rang say, sabza wa gul khilain seena sang say
Goojta hay jahan teri aahang say
Jis ne ki justujoo mil gaya us ko too sab ka Rahnuma
Aye Khuda Aye Khuda
Har sitaray man Aabad hay ik jahan, chand, Sooraj teri Roshni kay Nishan
Pathroon ko bhe too ne A’ta ki Zuban
Janwar, Aadmi kar rahay han sabhi teri Hamd-o-Sana
Aye Khuda Aye Khuda
Noor hi Noor bikhra hay kalak nahi, doosra koi Hadd-e-Guman tak nahi
Laakh hoon Soortain aik hi rang man too hay jalwa numa
Aye Khuda Aye Khuda
Sonp kar mansab-e-Aadmiat mujhay too ne bakhashe hay Apni khilafat mujhay
Shouq sajda bhi kar ab inayat mujhay
Hay mera sar teri dehleez par hay yehi Iltija
Aye Khuda Aye Khuda