Zahe Muqaddar Huzoor-e-Haq se salaam aaya payam aaya
Jhukao nazreen bichao palkeen adab ka aala maqam aaya
Ye kon sar se kafan lapetey chala hey ulfat ke rastey par
Firishtey heyrat se tak rahe heyn ye kon zi Eh’tiraam aaya
Fiza mein Labbaik ki sadain za-far’sh ta Ar’sh goonjti heyn
Har ik qurban ho raha hey zaban pe ye kis ka Naam aaya
Ye Rah-e-Haq hey sambhal ke chalna yahan hey manzil qadam qadam par
Pohanchna Dar par to kehna aaqa salaam lijiye ghulam aaya
Ye kehna aaqa bohat se aashiq taraptey choor aaya hoon mein
Bulawe ke muntazir heyn lekin na subah aaya na sham aaya
Dua jo nikli thi dil se aakhir palat ke maqbool ho k aai
Wo jazbah jis mein tarhap thi sachi wo jaz’ba aakhir ko kaam aaya
Khuda tera hafiz-o-Nigeh’ban-o-Rah-e-Bat’ha ke jaane wale
Naveed-e-Sad-e-Imbisat ban kar payam-e- Dar-us-salaam aaya