Zamana Hajj ka hay jalwah diya hay shahid-e-gul gul ko
Ilahi taaqat-e-parwaaz day par haye bulbul ko
Baharain aayen jo ban par ghira hay abar-e-Rahmat ka
Lab-e-Mushtaaq bhegain day ijaazat saaqia mal ko
Milay lab say wo mushkain muhar waali dam man dam aaye
Tapak sun kar qum esa kahoon masti man qalqal ko
Machal jaon sawaal-e-Muddaa par thaam kar daaman
Behkenay ka bahana paon qasd-e-bay taammul ko
Dua kar bakht khufta jaag hangaam-e-ijaabat hay
Hataya Subuh rukh say shanay nay shubhaye ka kal ko
Zuban-e-falsafi say aman kharq waltiyaam isra
Panaah-e-dor-e-Rahmat haye yak saat tasalsul ko
Do shanbah Mustafa ka juma’e Adam say behtar hay
Sikhana kia lihaaz-e-haisiyat khoye taamul ko
Wufoor shaan-e-Rahmat kay sabab juraat hay aye piyaray
Na rakh bahar Khuda sharmindah arz-e-bay taamul ko
Praishaani man Naam un ka dil Sad chaak say nikla
Ijaabat shanah karnay aaye gaisoo-e-tawassul ko
Raza nu sabza-e-gardoon hain kotal jis kay mokab kay
Koi kia likh sakay us ki sawaari kay tajammul ko