Hameyn apna Wo صلی الہ علیہ وآلہٖ وسلم keh’tey

Hameyn apna Wo صلی الہ علیہ وآلہٖ وسلم keh’tey heyn, Muhabbat ho to aysi ho
Hameyn Nazroon meyn rakh’tey heyn, Inaayat ho to aiyse ho
Woصلی الہ علیہ وآلہٖ وسلم pathar maarne waalon ko detay heyn Dua ak’sar
Koi lawo misaal aysi, Sharaafat ho to ayse ho
Ishaara jab woصلی الہ علیہ وآلہٖ وسلم famaeyn, to pat’har bol uthtay heyn
Nubuwwat ho tou aysi ho, Risaalat ho to ayse ho
Wahan muj’rim ko milti heyn panaheyn bhi jazaeyn bhi
Madeeney mey jo lagti hey, Adalat ho tu aysi ho
Mere Aaqa صلی الہ علیہ وآلہٖ وسلم ki Wilaadat per huwey sab ko ata baitey
Isey Meelad kehtey heyn, Wilaadat ho tu ayse ho
Namaz-e-As’r ko qurbaan ker kay Un ﷺ ki Hasti per
Ali Maula رضی اللہ عنہ ne batlaaya, Ibaadat ho tu ayse ho
Namaz-e-As’r ko qurbaan ker kay Un ﷺ kay chahrey per
Ali Maula رضی اللہ عنہ ne batlaaya, Ziyaarat ho tu ayse ho
Husaiyn Ibn-e-Ali رضی اللہ عنہ ne Karbala meyn ye kiya saabit
Rahe jaari jo neyzey per, Tilaawat ho tu ayse ho


Warning: Use of undefined constant php - assumed 'php' (this will throw an Error in a future version of PHP) in /home/kalamdb/public_html/wp-content/themes/bulletin/urdu-single.php on line 46