Ronaq-e-bazm-e-jahan hain aashiqan-e-sokhtah

Ronaq-e-bazm-e-jahan hain aashiqan-e-sokhtah
Keh rahi hay shama’e ki goya zaban-e-sokhta

Jis ko qars-e-mahar samjha hay jahan aye munimo!
Un kay khuwaan-e-jood say hay ayek naan-e-sokhtah

Maah-e-man ye nayyar mahshar ki garmi taabkay
Aatash isyan man Khud jalti hay jaan-e-sokhtah

Barq angushat Nabi chamki thi us par ayek baar
Aaj tak hay seena mah man nishaan-e-sokhtah

Mahar aalam taab jhukta hay pay tasleem roz
Paish-e-zarrat-e-mazaar-e-baidilaan-e-sokhtah

Kocha gaisoo-e-janaan say chalay thandi naseem
Baal-o-par afshaan hoon ya Rabb bulbulaan-e-sokhtah

Bahar haq aye Bahar-e-Rahmat ik Nigaah-e-lutuf baar
Tabkay bay Aab tarhpain maahiyaan-e-sokhta

Rokash khursheed mahshar ho tumharay faiz say
Ik sharraar-e-seenah-e-sheedaiyaan-e-sokhta

Aatsh-e-tar daamni nay dil kiye kia kia kabaab
Khizar ki jaan ho jila do maahiyaan-e-sokhta

Aatash gulhaye Tayyibah par jalanay kay liye
Jaan kay talib hain piyaaray bulbulaan-e-sokhta

Lutuf-e-barq jalwah-e-meraaj laya wajad man
Shula-e-jawwalah saan hay aasman-e-sokhta

Aye Raza mazmoon soz-e-dil ki rifat nay kia
Us zameen-e-sokhta ko aasman-e-sokhta


Warning: Use of undefined constant php - assumed 'php' (this will throw an Error in a future version of PHP) in /home/kalamdb/public_html/wp-content/themes/bulletin/urdu-single.php on line 46