Kia hi zoq afza shafaat hay tumhari wah wah
Qarz leti hay gunah parhaiz gari waah waah
Khama-e-qudrat ka husun-e-dastkaari waah waah
Kia hi tasweer apnay piyari ki sanwaari waah waah
Ashak shab bhar intizaar-e-af’w-e-ummat man bahain
Man fida chand aur yoon akhtar shumari waah waah
Ungliyaan hain faiz par tootay hain piyasay jhoom kar
Nadiyaan panjab-e-Rahmat ki hain jaari waah waah
Noor ki khairat lainay dorhtay hain mahar-o-maah
Uthti hay kis shaan say gard-e-sawaari waah waah
Neem jalway kin a taab aaye qamar saan to sahi
Mahar aur un talwoon ki aayena daari waah waah
Naf’s ye kia Zulum hay jab daikho tazah juram hay
Naatawaan kay sar par itna bojh bhari waah waah
Mujrimoon ko dhoondhti phirti hay Rahmat ki nigaah
Taliy-e-bargashtah teri saazgari waah waah
Ar’z baigi hay shafaat afw-e-ki sarkaar man
Chant rahi hay mujrimoon ki fard saari waah waah
Kia Madeenah say Saba aaye ke pholoon man hay Aaj
Kuch naye boo bhaini bhaini piyari piyari waah waah
Khud rahay parday man aur aayenah ak’s-e-khaas ka
Bhaij kar anjaanoon say ki raah daari waah waah
Is taraf rozah ka Noor us simat mimbar ki bahaar
Beech man Jannat ki piyaari piyaari kiayari waah waah
Sadqay is inaam kay qurbaan us ikraam kay
Ho rahi hay donoon aalam man tumhari waah waah
Paarah-e-dil bhi na nikla dil say tuhfay man Raza
Un sagaan-e-ko , say itni jaan piyaari waah waah