Utha do pardah dikha do chehrah ke Noor baari hijaab man hay
Zamana tareek ho raha hay ke mihar kab say niqaab man hay
Nahi wo methi nigaah wala Khuda ki Rahamat hay jalwah farma
Gazab say un kay Khuda bachaye jalaal baari itaab man hay
Jali jali boo say us ki paida hay sozash-e-ishq-e-chasham wala
Kabaab-e-aahoo man bhai na paya mazah jo dil kay kabaab man hay
Unhi ki boo maya-e-saman hay unhi ka jalwah chaman chaman hay
Unhi say gulshan mahak rahy hain unhain ki rangat gulaab man hay
Teri jalwa man hay maah-e-Tayyibah hilaal har marg-o-zindagi ka!
Hayaat jaan ka rikaab man hay mamaat a’ada ka daab man hay
Sayah libasaan-e-daar dunya-o-sabz poshaan-e-arsh aala
Har ik hay un kay karam ka piyas ye faiz un ki janaab man hay
Wo gul hain lab haye nazuk unkay hazaaroon jharhtay hain phool jin say
Gulaab gulshan man daikhay bulbul ye daikh gulshan gulaab man hay
Jali hay soz-e-jigar say jaan tak hay taalib-e-jalwa-e-mubark
Dikha do wo lab ke aab haiwaan ka lutuf jin kay khitaab man hay
Kharhay hain munkar nakeer sar par na koi haami na koi yaaro!
Bata do aakar meray peyambar ke sakht mushkil jawaab man hay
Khuda-e-qahhar hay gazab par khulay hain badkaariyoon kay daftar
Bacha lo aa kar shafee’e Mahshar tumhaara bandah azaab man hay
Kareem ayesa mila ke jis kay khulay hain haath aur bharay khazaanay
Bataaou aye mufliso! Ke phir kiyoon tumhaara dil iztiraab man hay
Gunah ki tareekiyaan ye chaayen umand kay kaali ghatayen aayen
Khuda kay khursheed mihar farma ke zarrah bas iztiraab man hay
Kareem apnay karam ka sadqa layeem bay qadar ko na Sharma
Tu aur Raza say hisaab laina Raza bhi koi hisaab man hay