Aye Saba lay ja Madeenay ko Piyaam

Aye Saba lay ja Madeenay ko Piyaam ar’dh kar day un say ba sad Ihtiram
Aye Makeen-e-Gunbad-e-Khadhra salam
Aye shakeeb-e-har dil-e-shaida salam
Ab Madeenay man mujhay Bulwaye apni baikas par karam farmaye
Bulbul-e-bay par pe ho jaye karam Aashiyanash dih bagulzar-e-haram
Hind ka jangal mujhay bhata nahi bas gye Aankhoon man Tayyibah ki Zameen
Zindagi kay han Madeenay man mazay ayesh jo chahay Madeenay ko chalay

Hay Madeena chashma-e-Aab-e-Hayat Zindagi ko hay Madeenay man Sibat

Khuld ki khatir Madeena chorh doon ein khiyal as’t wa Mahaal as’t wa junoon

Khuld kay Talib say keh do bay guman Talib Tayyibah ki Talib hay janan
Mujh say pehlay mera dil Hazir huwa ar’dh-e-Tayyibah kis qadar hay Dilruba

Kitne piyari Madeenay ki chamak Roshani hay ta falak
Kitne bhene hay Madeenay ki Mahak bas gaye boo-e-Madeenah ar’sh tak

Ya Rasool ALLAH az rahmat nagar dar baqee’a Pak khawaham mustaqar
Bas anokhi hay Madeenay ki bahar Rash’k-e-Sad gul han usi gulshan kay khar

Kitne roshan hay yahan har aik shab har taraf hay tabish-e-mah-e-arab
Kia Madeenay ko Zaroorat chand ki Maah-e-Tayyibah ki hay har soo chandne

Noor walay sahib-e-me’raj han mih’r-e-mah un kay sabhi muhtaj han
Aye khosha bakht-e-rasaye ikhtarat baaz Aawardi gada ra bardarat