Akhtar burj-e-Rifat pe Lakhoon Salaam

Akhtar burj-e-Rifat pe Lakhoon Salaam
Aftab-e-Risalat pe Lakhoon Salaam
Mujtaba Shan-e-Qudrat pe Lakhoon Salaam
Mustafa Jan-e-Rahmat pe Lakhoon Salaam
Sham’e Bazmi Hidayat pe Lakhoon Salaam

Jis ki Azmat pe Sadqay Waqar-e-Haram
Jis ki zulfoon pe Qurban Bahar-e-Haram
Nosha-e-bazam-e-Parwardigar-e-Haram
Shehryar-e-iram Taj dar-e-Haram
No bahar-e-Shafat pe Lakhoon Salaam

Jis kay Qadmoon pe Sajda karain Janwar
Mun say bolain shajar dain gawahi Hajar
Wo han Mahboob-e-Rabb-e-Malik-e-Bahar-o-bar
Sahib-e-Rajat-e-Shams-o-Shaq-ul-Qamar
Naib-e-dast-e-Qudrat pe Lakhoon Salaam

La makan ki jabeen bahar-e-sajdah jhuki
Rifat-e-manzil-e-ar’sh aala jhuki
Azmat-e-Qibla-e-Deen-o-Dunya jhuki
Jin kay sajday ko Mehrab-e-Ka’aba jhuki
Un Bhanwoon ki Latafat pe Lakhoon Salaam

Jis kay jalway zamanay man chanay lagay
Jis ki dho’a say andhairay Thikanay lagay
Jis say Zulmat karay Noor Panay lagay
Jis say Tareek Dil jagmaganay lagay
Us chamak wali Rangat pe Lakhoon Salaam

Parh gaye jis pe mahshar man bakhsha gaya
Daikha jis samat ab’r-e-Karam chaa gaya
Rukh jidhar ho gaya, zindagi Pa gaya
Jis taraf uth gaye Dam man dam Aa gaya
Us Nigah-e-inayat pe Lakhoon Salam

Dooba Sooraj kisi nay bhi phaira Nahi
Koi Mis’l-e-yad-ul-Allah daikha Nahi
Jis ki Taqat ka koi Thikana nahi
Jis ko baar-e-do Aalam ki parwah Nahi
Aesay bazoo ki Quwwat pe Lakhoon Salaam.

Jab huwa dhao figan deen-o-Dunya ka chand
Aaya Khalwat say Jalwat man Asra ka Chand
Nikla jis waqt-e-Masood, Bat’ha ka Chand
Jis Suhani gharhi chamka Tayyibah ka Chand
Us Dil afroz-e-Sa’at pe Lakhoon Salaam

Haq kay muhrim Imam-ut-Tuqa wan-un-nuqa
Zaat-e-Akram Imam-ut-Tuqa wan-un-nuqa
Qutub-e-Aalam-ut-Tuqa wan-un-nuqa
Gauth Azam Imam-ut-Tuqa wan-un-nuqa
Jalwa-e-Shan-e-Qudrat pe Lakhoon Salaam

Murshidi Shah Ahmad Raza khan Raza
Faizaab-e-Kamalaat Hassan Raza
Saath Akhtar bhi hoon Zam Zamah Kahwan Raza
Jabkeh Khidmat kay Qudsi kahian han Raza
Mustafa jaan-e-Rahmat pe Lakhoon Salaam


Warning: Use of undefined constant php - assumed 'php' (this will throw an Error in a future version of PHP) in /home/kalamdb/public_html/wp-content/themes/bulletin/urdu-single.php on line 46