Aankhain ro ro kay sujanay waalay 	jaanay waalay nahi aanay waalay
Koi  din man ye sira aujarh hay aray  aochaouni  chanay waalay
Zibah hotay han watan say bicharhay 		dais kiyoon gaatay hain gaanay waalay
Aray badfaal  buri hoti hay  dais ka jangla sunaanay waalay
Sun lain aada man bigrhnay ka nahi 	wo salaamat  hain banane waalay
Aankhain kuch kehtey hain tujh say paigaam 	ao dar-e-yaar  kay jaanay waalay
Phir na karwat li Madeenah ki taraf 	aray chal jhootay bahanay waalay
Naf’s man khaak huwa to na mita 	     hay meri jaan kay khaanay waalay
Jeetay kia daikh kay  hain aye hooro! Tayyibah say khuld man aanay waalay
Neem jalway man do aalam gulzaar 	waah wa rang jamaanay waalay
Husun tera san a daikha na suna 	kehtay hain aglay zamaanay waalay
Wohi dhoom un ki hay MashAllah 	mit gay aap mitaanay waalay
Lab-e-sairaab ka sadqah paani aye lagi dil ki bujhaanay waalay
Saath lay lo  mujhay man mujrim hoon 	raah man parhtay hain thaanay waalay
Ho giya dhak say kalaija mera   	haye rukhsat ki sunaanay waalay
Khalq to kia ke hain khaaliq ko aziz  	kuch ajab bhaatay bhanay waalay
Kushta-e-dasht-e-haram jannat ki 	khirhkiyaan apnay sirhaanay waalay
Kiyoon Raza aaj gali soni hay
Uth meray dhoom machanay waalay 




