muftiِ Azam barri sarkar hai
jabkay adna sa gadda attar hai
muftiِ Azam se hum ko pyar hai
in sha allah apna bera paar hai
muftiِ Azam Raza ka laadla
aur Muhib syed Abrar hai
aalam o mufti fiqiya be badal
khoob khush ikhlaq o bakirdar hai
tajdar ehley snnt almdd
banda e dar be kis o nachar hai
tkhtِ Shahi kya karoon mere liye
taaj izzat aap ki paizaar hai
aala hazrat ka rahon mein bawafa
istiqamat ki dua darkaar hai
astane par khara hai ik gadda
talbِ ashqِ Sheh abrar hai
muskura kar ik nazar gir dekh lo
meri shamِ gham abhi gulzaar hai
mere dil ko shaad farma dijiye
ranj o gham ki qalb par yalghaar hai
sidi Ahmed Raza ka vaastaa
tera mangta talbِ deedar hai
hoon gunaaho ke marz se name jaan
drdِ esiyan ki dawa darkaar hai
haath phela kar mradiN maang lo
saailo un ka sakhi darbaar hai
in sha allah mughfirat ho jaye gi
ae walii! teri dua darkaar hai
khoob khidmat sntoN ki mein karoon
sidi teri dua darkaar hai
kash noori ke sagun mein ho shumaar
yeh tamnnaye dil e attar hai
Sar hay kham haath mayra utha hay, Ya Khuda Tujh say mayri Du’a hay
Fazl ki rahm ki iltija hay, Ya Khuda Tujh say mayri Du’a hay
Tayra in’aam hay Ya Ilahi, kaysa ikraam hay Ya Ilahi
Haath mayn daman-e-Mustafa hay, Ya Khuda Tujh say mayri Du’a hay
‘Ishq day, sauz day, chashm-e-nam day, mujh ko meethay Madinay ka gham day
Wasitah Gumbad-e-Sabz ka hay, Ya Khuda Tujh say mayri Du’a hay
Hoon ba-zaahir bara nayk soorat, ker bhi day mujh ko ab nayk seerat
Zaahir achcha hay baatin bura hay, Ya Khuda Tujh say mayri Du’a hay
Mayray murshid jo Ghaus-ul-Wara hayn, Shah Ahmad Raza rahnuma hayn
Yeh Tayra lutf Tayri ‘ata hay, Ya Khuda Tujh say mayri Du’a hay
Ya Khuda aysay asbab paoon, kash Makkay Madinay mayn jaoon
Mujh ko arman Hajj ka bara hay, Ya Khuda Tujh say mayri Du’a hay
Ya Ilahi ker aysi ‘inayat, day day Iman per istiqamat]
Tujh say ‘Attar ki iltija hay, Ya Khuda Tujh say mayri Du’a hay
Dard-e-dil kar mujhay Ata Ya Rabb
Day meray dard ki dawa Ya Rabb
Laaj rakh lay Gunahgharoon ki
Naam Rahman hay Tera ya Rabb
Aib meray na khol Mahshar man
Naam Sattar hay Tera Ya Rabb
Bay sabab bakhsh day na pooch amal
Naam Gafar hay Tera ya Rabb
Aasra ham gunahgaroon ka
Aur mazboot ho gaya Ya Rabb
Too ne di mujh ko Nemat-e-Islam
Phir jama’et man lay liya ya Rabb
Ahle-e-Sunnat ki har jama’et par
Har jaga ho Teri Ata Ya Rabb
To Hassan ko utha Hassan kar kay
Ho ma’e-al-khair khatima Ya Rabb
ALLAHOO ALLAHOO ALLAHOO ALLAHOO
ALLAHOO ALLAHOO ALLAHOO ALLAHOO
La mojood Illallah la mashahood Illallah
La Maqsood Illallah La Ma’bood Illallah
ALLAHOO ALLAHOO ALLAHOO ALLAHOO
Allah wahid-o-yakta hay eik Khuda bas tanha hay
Koi na us ka hamta hay eik hi sab ki suntan hay
ALLAHOO ALLAHOO ALLAHOO ALLAHOO
Juz ma wo hay kul man wo rang-o-boo-e-gul man wo
Afghan bulbul man wo Nagmaat Qul Qul man wo
ALLAHOO ALLAHOO ALLAHOO ALLAHOO
Bulbul Tooti parwana har eik us ka deewana
Qamri us ka mastana mor chakor ka jana na
ALLAHOO ALLAHOO ALLAHOO ALLAHOO
Mola dil ka zang churha qalb noori paye jala
Dil ko kar day Aayena jis man chamkay ye kalma
ALLAHOO ALLAHOO ALLAHOO ALLAHOO
Qalb ko us ki Royat ki hay aarzoo
Jis ka jalwah hay Aalam man har char soo
Balkeh khud nafs man hay wo Subhanahu
Ar’sh par hay magar ar’sh ko justajoo
ALLAHOO ALLAHOO ALLAHOO ALLAHOO
Ar’sh-o-far’sh-o-zaman-o-jihat aye Khuda
Jis Taraf daikhta hoon Jalwa tera
Zarray Zarray ki Aankhoon man too hi Zia
Qatray Qatray ki to hi to Aabroo
ALLAHOO ALLAHOO ALLAHOO ALLAHOO
Too Kisi jaa Nahi aur har jaa hay Too
Too Munzzah makan say Mubarrah zasoo
Ilm-o-Qudrat say har jaa hay too koobakoo
Teray jalway han har har jagah aye af’we
ALLAHOO ALLAHOO ALLAHOO ALLAHOO
Saaray aalam ko hay Teri hi Justajoo
Jinn-o-In’s-o-malak ko teri aarzoo
Yaad man Teri har eik hay Soo ba soo
Ban man wahshi lagatay hain dharbat-e-hoo
ALLAHOO ALLAHOO ALLAHOO ALLAHOO
Nagma Sanjan-e-Gulshan man charcha Tera
Geet teray hi gatay hain wo khush Guloo
Koi kehta hay Haq koi kehta hay Hoo
Aur sab kehtay hain La shareek lahu
ALLAHOO ALLAHOO ALLAHOO ALLAHOO
Bulbul-e-khush Nawa Toti-e-khush guloo
Zamzamah kahawan han gatay hain Nagmaat hoo
Qamri khush liqa boli Haqq Sirrahu
Fakhta khush ada nay kaha dost too
ALLAHOO ALLAHOO ALLAHOO ALLAHOO
Af’w farma khatain meri aye af’we
Shauq-o-tofeeq naiki ka day mujh ko too
Jari dil kar ke har dam rahay zikir ho
Aadat-e-bad badil aur kar naik khoo
ALLAHOO ALLAHOO ALLAHOO ALLAHOO
Khuwaab-e-noori man aayen jo nor-e-Khuda
Buqaa’-e-noor ho apna Zulmat kuda
Jagmaga uthay dil chehra ho pur zia
Noorion ki tarah shugul ho zikir hoo
ALLAHOO ALLAHOO ALLAHOO ALLAHOO
Muaaf fazal-o-Karam say ho har khata Ya Rabb
Ho magfirat paye Sultan-e-Anbiya Ya Rabb
Bila Hisaab ho Jannat man dakhila ya Rabb
Parhos Khuld man sarwar ka ho ata Ya Rabb
Nabi ka Sadqa sad kay liye Too Razi ho
Kabhi bhi hona na naraz Ya Khuda Ya Rabb
Teri Habeeb agar Muskratay Aa jayen
To bilyaqeen Uthay Qabar jagmaga Ya Rabb
Khazan Phatak na sakay pas, day bahar ayesi
Rahay hayat ka Gulshan hara bhara Ya Rabb!
Hamaray dil say nikal jaye ulfat-e-Dunya
Paye Raza ho Ata ishiq-e-Mustafa Ya Rabb
Nabi ki Deed hamari hay Eid ya Allah
Ata ho khuwab man Deedar-e-Mustafa Ya Rabb!
Tulain na Hashar man Attar kay amal mola
Bila Hisab hi too us ko bakhsaha Ya Rabb
Hamaray dil say Zamane kay Gam Mita ya Rabb
Ho methay methay madeenay ka Gam Ata ya Rabb
Gam-e-Hayat abhi Rahatoon man dhal jayen
Teri ata ka ishara jo ho giya Ya Rabb
Paye Hussain-o-hassan Fatima Ali Hayder
Hamaray bigrhay hoi kaam day bana Ya Rabb
Hamari bigrhi hui aadatain nikal jayen
Milay gunahoon kay amradh say shifa Ya Rabb
Mujhay day Khud ko bhi aur saari dunya waloon ko
Sudharne ki Tarhp aur Hosla Ya Rabb
Hamaishah haath bhalye kay wastay uthain
Bachana zulum-o-Sitam say mujhay sada ya Rabb
Rahain bhalaye ki Rahoon man gamzan har dam
Karain na Rukh meray paoun gunah ka Ya Rabb
Gunahgar Talabgar-e-Afw-o-Rahmat hay
Azab sahnay ka kis man hay Hosla Ya Rabb
Ata ho Naiki ki dawat ka khoob jazba ke
Doon dhoom Sunnat-e-Mahboob ke macha Ya Rabb
Ata ho ham sab ko Qabool-e-Aam
Hamain Shuroor-o-Fitan say sada bacha Ya Rabb
Man Pul Siraat bila khof par kar loon ga
Teray karam ka sahara jo mil giya ya Rabb
Kahin ka Aah! Gunahoon nay ab nahi chorha
Azaab-e-Naar say Attar ko bacha Ya Rabb
Sharf day Hajj ka mujhay bahar-e-Mustafa Ya Rabb
Rawana soo-e-Madeenah ho Qafila Ya Rabb
Dikha day aik jhalak sabz sabz Gumbad ki
Bas un kay jalwoon man aa jaye phir Qadha Ya Rabb
Madeenay jayen phir aayen dobarah phir jayen
Isi man umar guzar jaye Ya Khuda Ya Rabb
Mera ho Gumbad-e-khazra ki Thandi chaoun man
Rasool-e-Pak kay Qadmoon man Khatima Ya Rabb
Waqat-e-Naza’e Salamat rahay mera eman
Mujhay Naseeb ho tobah hay iltija Ya Rabb
Jo “Deen ka Kaam” Karian dil laga kay Ya Allah
Unhain ho khuwab man Deedar-e-Mustafa Ya Rabb
Teri Mahabbat utar jaye meri Nas Nas man
Paye Raza ho Ata ishq-e-Mustafa Ya Rabb
Zamanay bhar man macha dain gay dhoom sunnat ki
Agar karam nay teray saath day dia Ya Rabb
Namaz o-Roza-o-Hajj-o-Zakat ki Taufeeq
Ata ho Ummat-e-Mahboob ko sada Ya Rabb
Jawab Qabar man Munkar Nakeer ko doon ga
Teray karam say agar Hosla mila Ya Rabb
Baroz-e-Hashar chalkta sa jaam kausar ka
Badast-e-Saqi-e-Kausar hamain Pila Ya Rabb
Baqee-e-Pak man Attar dafan ho jaye
Baraye Gauth-o-Raza Az pay Zia Ya Rabb
Mita day sari khatain meri mita ya Rabb bana day naik bana naik day bana Ya Rabb
Bana day Mujh ko Ilahi Khuloos ka paikar Qareeb aaye na meray kabi Riya Ya Rabb
Andheri Qabar ka dil say nahi nikalta Dar Karoon ga kia jo Too Naraz ho giya Ya Rabb
Gunahgar hoon man Layeq Jahannam hoon Karam say bakhash day mujh ko na day saza Ya Rabb
Buraioon pe pashaiman hoon Raham farma day hay teray qahar pe havi tar ata Ya Rabb
Muheet dil pe huwa haye nafs-e-ammarah dimag par meray iblees cha giya Ya Rabb
Rihaye mujh ko milay kaash! Naf’s-o-shaitan say teray Habeeb ka Daita hoon Wasita Ya Rabb
Gunah bay Adad aur Juram bhi hain la tadad kar af’we sah na sakoon ga koi saza Ya Rabb
Main kar kay tobah Palat kar Gunah karta hoon Haqeeqi tobah ka karday sharf Ata Ya Rabb
Sunoon na fuhush Kalaami na Geebat-o-chugli Teri pasand ki baatain faqat suna ya Rabb
Karain na Tang khiyalaat-e-bad kabhi, kar day shuoor-o-fik’r ko pakeezgi ata ya Rabb
Nahi hay Nama-e-Attar man koi naiki
Faqat hay teri hi Rahmat ka Aasra ya Rabb
Kab gunahoon say kanara man karoon ga Ya Rabb
Naik kab aye meray Allah banoon ga Ya Rabb
Kab gunahoon kay marz say man shifa paon ga
Kab man beemar, Madeenay ka banoon ga Ya Rabb
Gar teray Piyaray ka jalwa na raha paish-e-Nazar
Sakhtian naza’e ki kioon ka man sahoon ga Ya Rabb
Naza’e kay Waqat mujhay jalwa Mahboob dikha
Tera kia jaye ga man sahad maroon ga Ya Rabb
Qabar man gar na Muhammad kay Nazaaray hon gay
Hashar tak kaisay man phir tanha rahoon ga Ya Rabb
Dang machar ka bhi mujh say to saha jata nahi
Qabar man bichoo kay dang kaisay sahoon ga Ya Rabb
Ghup andhaira hi kia wahshat baseera hoga
Qabar man kaisay akaila man Rahoon ga Ya Rabb
Gar kafan Paharh kay sanpoon nay jamaya Qabza
Haye barbadi! Kahan ja kay chupoon ga Ya Rabb!
Haye! Mamooli se garmi bhi sahi jati nahi
Garmi-e-Hashar man phir kesay sahoon ga Ya Rabb!
Iz’n say teray sar-e-hashar kahain kaash! Huzoor
Saath Attar ko Jannat man Rakhoon ga Ya Rabb
Hubb-e-Dunya say too bacha Ya Rabb Aashiq-e-Mustafa bana Ya Rabb
Kar day Hajj ka sharaf ata Ya Rabb sabz Gumbad bhi day dikha ya Rabb
Ye teri hi to inayat ke mujh ko Makkay bula lia ya Rabb
Aaj hay roo baroo meray kaaba silsla hay Tawaf ka Ya Rabb
Abar barsa day Noor ka ko loon barash-e-Noor man naha Ya Rabb
Kaash! Lab par meray rahay jari Zikr Aathoon pahar tera Ya Rabb
Chasham-e-tar aur qal’b-e-mujtar day Apni ulfat ki may pila Ya Rabb
Naf’s-o-shaitan ho gay Galib un kay chungal say too churha Ya Rabb
Kar kay Toba man phir gunahoon man ho hi jaata hon mubtala Ya Rabb
Neem jan kar dia gunahoon nay mardh-e-isyan say day shifa Ya Rabb
Kis kay dar man jaoun ga mola gar to Naraz ho giya Ya Rabb
Waqat-e-Rihlat ab Aa gaya Mola Jalwa-e-Mustafa dikha Ya Rabb
Qabar man aah ghup andhaira hay Roshni ho pay Raza ya Rabb
Sanp liptain na meray lashay say qabar man kuch na day saza Ya Rabb
Noor-e-Ahmad say Qabar roshan ho Wahshat man mera ho ga kia Ya Rabb
Kar day Jannat man too jawar un ka
Apnay Attar ko ata Ya Rabb
Amal ka ho jazba ata ya Ilahi
Gunahoon say mujh ko bacha ya Ilahi
Man panchoon Namazain parhoon ba jamat
Ho tofeeq ayesi ata ya Ilahi
Man parhta rahoon Sunatain, Waqat hi par
Hoon saray Nawafil ada Ya Ilahi
Day shauq-e-Tilawat day Zauq-e-Ibadat
Rahoon ba Wudhu man sada Ya Ilahi
Hamaishah Nigahoon ko apni jhuka kar
Karoon Khashiyana Dua Ya Ilahi
Na Naiki ki Dawat man susti ho mujh say
Bana shayeq-e-Qafila Ya Ilahi
Saadat milay Dars-e-Faizan-e-Sunnat
Ki rozana do martaba Ya Ilahi
Man Mittey kay sadah bartan man khaoun
Chitaye ka ho bistra Ya Ilahi
Hay Aalim ki khidmat yaqeenan saadat
Ho tofeeq is ki ata Ya Ilahi
Sada-e-Madeenah doon rozana Sadqa
Abu Bakar-o-Farooq ka Ya Ilahi
Man neechi nigahain rakhoon kaash! Aksar
Ata kar day sharm-o-Hayya Ya Ilahi
Hamaishah karoon kaash parday man pardah
Too paikar Hayya ka bana Ya Ilahi
Libas sunatoon say ho Aarasta aur
Imama ho sar par saja Ya Ilahi
Sabhi musht darhey-o-gaisoo sajayen
Banain aashiq-e-Mustafa Ya Ilahi
Har ik Inaam aye kaash! Paoun
Karam kar paye Mustafa Ya Ilahi
Ho Akhlaq acha ho kirdar suthra
Muttaqi too bana Ya Ilahi
Gusailay mizaj aur Tamaskhur ki khaslat
Say Attar ko too bacha Ya Ilahi
Mita meray ranj-o-alam Ya Ilahi Ata kar mujhay apna gam Ya Ilahi
Sharab-e-Mahabbat kuch aeysi pila day kabhi bhi nasha ho na kam Ya Ilahi
Mujhay Apna aashiq bana kar bana day Too sartapa Tasweer-e-Gam Ya Ilahi
Faqat Tera Talib hoon har giz nahi hoon Talabgar-e-jaah-o-Hasham Ya Ilahi
Na day Taaj-e-shahi na day badshahi bana day gada-e-Haram Ya Ilahi
Jo ishq-e-Muhammad man Aansoo bahaye Ata kar day wo chashm-e-Nam Ya Ilahi
Sharaf Hajj ka daiday chalay Qafila phir Mera Kaash! Soo-e-Haram Ya Ilahi
Dikha day Madeenay ki galiyan Dikhaday Dikha day Nabi ka Haram Ya Ilahi
Chalay jaan Is shan say kaash ye sar dar-e-Mustafa pe ho kham Ya Ilahi
Mera sabz Gumbad kay saye man Niklay Muhammad kay Qadmoon man Dam Ya Ilahi
Ibadat man lagta nahi dil hamara han isyan man badmast ham Ya Ilahi
Mujhay daiday Iman par istiqamat pay sayyid-e-Muhtasham Ya Ilahi
Meray sar pe isyan ka bar Aah Mola! Barha jata hay dam badam Ya Ilahi
Zameen bojh say meray phatatey nahi hay Ye tera hi to hay karam Ya Ilahi
Mujhay Naar-e-Dozakh say dar lag raha hay ho mujh Natuwan par karam Ya Ilahi
Sada kay liye ho ja Raazi Khudaya Hamaishah ho Lutuf –o-Karam Ya Ilahi
Too Attar ko bay sabab bakhshash mola
Karam kar Karam kar Karam Ya Ilahi
Man makkay man phir aa giya ya Ilahi karam ka teray shukriya ya Ilahi
Na kar rad koi Iltija ya ilahi ho maqbool har ik Dua ya Ilahi
Rahay Zikr Aathoon pahar meray lab par tera ya Ilahi tera Ya Ilahi
Meri zindagi bas teri bandage man hi aye kaash! Guzray sada ya Ilahi
Na hoon ashak barbad dunya kay Gam man Muhammad kay Gam man Rula Ya Ilahi
Ata kar day Ikhlas ki mujh ko Nemat na nazdeek Aaye Riya Ya Ilahi
Muhjhay olya ki Muhabbat Ata kar Too Deewana kar Gauth Ya Ilahi
Man Yad-e-Nabi man Rahoon Gum hamaishah mujhay un kay Gam man ghula Ya Ilahi
Meray bal bachoon pe saray qabeelay pe Rahmat ho teri sada Ya Ilahi
De Deewanoon balke sabhi ko Madeenay ka Gam Ya Khuda Ya Ilahi
Khudaya Ajal aakay sar par kharhey hay dikha jalwa-e-Mustafa Ya Ilahi
Meri Laash say saanp bichoo na liptain Karam bahar-e-Ahmad Raza Ya Ilahi
Too Attar ko sabz-e-Gumbad kay saye
Man kar day shahadat Ata Ya Ilahi
Too nay mujh ko Hajj pe Bulaya Ya ALLAH Meri jholi bharday
Gird-e-kaba khoob phiraya Ya ALLAH Meri jholi bharday
Maidan-e-arfat dikhaya Ya ALLAH Meri jholi bharday
Bakhsh day har haji ko Khudaya Ya ALLAH Meri jholi bharday
Bahar-e-Kausar-o-beer-e-Zam Zam Kar day karam aye Rabb-e-Akram
Hashar ki Piyas say Mujh ko Bachana Ya ALLAH Meri jholi bharday
Mola mujh ko Naik Bana day Apni ulfat dil man Basa day
Bahar-e-Safa aur bahar Marwa Ya ALLAH Meri jholi bharday
Ya ALLAH Ya Rahman Ya Hannan Ya Mannan
Bakhash day bakhshay huwoon kka Sadqa Ya ALLAH Meri jholi bharday
Wasta Nabiyoon kay sarwar ka Wasita Siddique aur Umar ka
Wasta Usman-o-Haidar ka Ya ALLAH Meri jholi bharday
Naar-e-Jahannam say too bachana Khuld-e-bareen man mujh ko basana
Ya Rabb az pay Abu Haneefa Ya ALLAH Meri jholi bharday
Sail hoon man Teri wila ka Phair day Rukh har ranj-o-bala ka
Wasta shah-e-Karb-o-bala ka Ya ALLAH Meri jholi bhardo
Jis dam Soo-e-Tayyebah safar ho Aankhain tar hoon phatata jigar
Jannat man Aaqa ka parhosi
Ban jaye Attar ilahi
Bahar-e-Raza-o-Qutub-e-Madeenah
Ya ALLAH Meri jholi bharday
Ya Rabb phr aoj par ye hamara Naseeb ho
Soo-e-Madeenah phir hamain jana Naseeb ho
Makkah bhi ho Naseeb Madeenah Naseeb ho
Dasht-e-Arab Naseeb ho Sihra Naseeb ho
Hajj ka safar phir aye meray Aaqa Naseeb ho
Arfat ka mina ka Nizara Naseeb ho
Allah! Deed Gumbad-e-khazra Naseeb ho
Ya Rabb ! Rasool-e-Pak ka jalwa Naseeb ho
Chomoon arab ki wadian aye kash ja kay phir
Sihra man un kay ghoomna phirna Naseeb ho
Kabay kay jalwoon say dil Mujtar ho shad phir
Lutuf-e-Tawwaf khan kaba Naseeb ho
Ya Rabb Muhammad meri taqdeer jaga day
Sahraye Madeenah Mujhay Aankhoon say dikhaday
Peecha mera Dunya ki Muhabbat say churha day
Ya Rabb! Mujhay deewana madeenay ka bana day
Rota huwa jis dam man dar-e-Yar pe puhunchoon
Us waqat mujhay jalwa-e-mahboob dikha day
Dil ish’q-e-Muhammad man tarhpna rahay har dam
Seenay ko Madeenah meray Allah Bana day
Behte Rahay har waqat jo sarkar kay Gam man
Roti hui wo Aankh Mujhay meray Khuda day
Ieman pe day maut Madeenay ki Gali man
Madfan mera Mahboob kay Qadmoon man Bana day
Ho bahar-e-dhiya nazar-e-Karam sooye-e-Gunahgar
Jannat man Parhosi Mujhay Aaqa ka bana day
Daita hoon tujhay wasta man Piyaray Nabi ka
Ummat ko Khudaya Rah-e-Sunnat pe chala day
Attar say Mahboob ki Sunnat ki lay Khidmat
Danka ye Teray Deen ka Dunya man baja day
ALLAH milay Hajj ki isi Sal Sa’adat
Attar ko phir roza-e-Mahboob dikhaday
Har khata to dar guzar kar baikas-o-Majboor ki
Ya ilahi ! Magfirat kar baikas-o-Majboor ki
Ya Ilahi! Kar day poori az paye Gauth-o-Raza
Aarzoo-e-Deed sarwar baikas-o-Majboor ki
Zindgi aur Moat ki hay Ya Ilahi kshmakash
Jaan chalay Teri Raza par Baikas-o-Majboor ki
Aala Ilyeen man ya Rabb! Usay daina jaga
Rooh Chalday jab nikal kar baikas-o-Majboor ki
Ya khuda Poori Tamanna ho baqee’a Pak ki
Az panay Hussain-o-Heyder baikas-o-Majboor ki
Wasta Noor-e-Muhammad ka Tujhay piyaray Khuda !
Gaur-e-Tairah kar Munawwar baikas-o-Majboor ki
Aap kay Methay Madeenay man paye Gauth-o-Raza
Hazri Ho Ya Nabi! Har baikas-o-Majboor ki
Amina kay lal! Sadqa Fatima Lal ka
Door Sari Aaftain kar baikas-o-Majboor ki
Naf’s-o-Shaitan Galib Aye lo khabar ab jald tar
Ya Rasool Allah ! Aa kar baikas-o-Majboor ki
Jis kisi ne bhi Dua kay wastay Ya Rabb! Kaha
Kar day Poore Aarzoo har baikas-o-Majboor ki
Bahar shah-e-karbala ho door Aaqa har bala
Aye Habeeb Rabb-e-Dawar! Baikas-o-Majboor ki
Aap Khud Tashreef Laye Apnay Baikas ki Taraf
Aah jab nikle Tarhap kar baikas-o-Majboor ki
Aye Madeenay kay musafir! To kahani dard ki
Un say kehna Khoob Ro kar baikas-o-Majboor ki
Haal Bigrha! Rooh Tarhpi jab Madeenah chut gaya
Jaan thi Ghamgin-o-Muj’tar baikas-o-Majboor ki
Aap kay Qadmoon man Gir kar Maot ki Ya Mustafa ﷺ
Aarzoo Kab Aayegi bar? Baikas-o-Majboor ki
Nama-e-Attar man Husun-e-Amal koi Nahi
Laaj rakhna roz-e-Mahshar baikas-o-Majboor ki
Aye Madeenay kay Tajdar Tujhay ahl-e-Eiman salam kehtay han
Teri Ushaq Teray deewanay, jan-e-Janan salam kehtay han
Teri furqat man bay qarar han jo Tayyibah say dil fagar han
Wo talabgar-e-deedar ro ro kar aye meri Jaan salam kehtay han
Jin ko Dunya kay Gam satatay han Thokrain dar badar jo khatay han
Gam Naseeboon kay charah gar tum ko wo paraishan salam kehtay han
Ishq-e-sarwar man jo Tarhptay han Haziri kay liye machaltay han
Izin-e-Tayyibah ki Aas man Aaqa wo pur arman salam kehtay han
Teri rozay ki Jaliyoon kay Qareen sari dunya say meray sar dardeen
Kitnay Khush bakhat roz Aa Aa kar teray Mehman Salam kehtay han
Aarzoo-e-Haram hay seenay man ab to bulwaye Madeenay man
Tujh say Tujh hi ko Mangtay han jo wo Muslman Salam kehtay han
Aap Attar kioon piraishan han Aasiyoon par bhi wo mehrban han
Wo karam khas un par kartay han jo Muslman Salam kehtay han
Thandi Thandi hawa Madeene ki
Mehkey mehkey Fiza Madeene ki
Aarzoo hay Khuda Madeenae ki
Mujh ko Galian Dikha Madeene ki
Din hay kesa Munawwar wa Roshan
Raat Ronaq Fiza Madeene ki
Chaon to har jaga ki thandi par
Dhoop bhi Dilruba madeene ki
Hay paharoon par Noor ki chadar
Wadian Dil kusha Madeene ki
Kiyoon ho Mayoos Aye Mareezo tum
Lay lo Khak-e-Shifa madeene ki
Koi Nakam Loutata hi nahi
Raah lay Aye Gada Madeene ki
Meri Qismat main Katib Taqdeer
Likh day likh day Qaza Madeene ki
Ja kay Attar phir Madeene main
Rahmatain Loutana Madeene ki