Sharf day Hajj ka mujhay bahar-e-Mustafa Ya Rabb

Sharf day Hajj ka mujhay bahar-e-Mustafa Ya Rabb
Rawana soo-e-Madeenah ho Qafila Ya Rabb

Dikha day aik jhalak sabz sabz Gumbad ki
Bas un kay jalwoon man aa jaye phir Qadha Ya Rabb

Madeenay jayen phir aayen dobarah phir jayen
Isi man umar guzar jaye Ya Khuda Ya Rabb

Mera ho Gumbad-e-khazra ki Thandi chaoun man
Rasool-e-Pak kay Qadmoon man Khatima Ya Rabb

Waqat-e-Naza’e Salamat rahay mera eman
Mujhay Naseeb ho tobah hay iltija Ya Rabb

Jo “Deen ka Kaam” Karian dil laga kay Ya Allah
Unhain ho khuwab man Deedar-e-Mustafa Ya Rabb

Teri Mahabbat utar jaye meri Nas Nas man
Paye Raza ho Ata ishq-e-Mustafa Ya Rabb

Zamanay bhar man macha dain gay dhoom sunnat ki
Agar karam nay teray saath day dia Ya Rabb

Namaz o-Roza-o-Hajj-o-Zakat ki Taufeeq
Ata ho Ummat-e-Mahboob ko sada Ya Rabb

Jawab Qabar man Munkar Nakeer ko doon ga
Teray karam say agar Hosla mila Ya Rabb

Baroz-e-Hashar chalkta sa jaam kausar ka
Badast-e-Saqi-e-Kausar hamain Pila Ya Rabb

Baqee-e-Pak man Attar dafan ho jaye
Baraye Gauth-o-Raza Az pay Zia Ya Rabb


Warning: Use of undefined constant php - assumed 'php' (this will throw an Error in a future version of PHP) in /home/kalamdb/public_html/wp-content/themes/bulletin/urdu-single.php on line 46