Mita day sari khatain meri mita ya Rabb

Mita day sari khatain meri mita ya Rabb bana day naik bana naik day bana Ya Rabb
Bana day Mujh ko Ilahi Khuloos ka paikar Qareeb aaye na meray kabi Riya Ya Rabb
Andheri Qabar ka dil say nahi nikalta Dar Karoon ga kia jo Too Naraz ho giya Ya Rabb
Gunahgar hoon man Layeq Jahannam hoon Karam say bakhash day mujh ko na day saza Ya Rabb
Buraioon pe pashaiman hoon Raham farma day hay teray qahar pe havi tar ata Ya Rabb
Muheet dil pe huwa haye nafs-e-ammarah dimag par meray iblees cha giya Ya Rabb
Rihaye mujh ko milay kaash! Naf’s-o-shaitan say teray Habeeb ka Daita hoon Wasita Ya Rabb
Gunah bay Adad aur Juram bhi hain la tadad kar af’we sah na sakoon ga koi saza Ya Rabb
Main kar kay tobah Palat kar Gunah karta hoon Haqeeqi tobah ka karday sharf Ata Ya Rabb
Sunoon na fuhush Kalaami na Geebat-o-chugli Teri pasand ki baatain faqat suna ya Rabb
Karain na Tang khiyalaat-e-bad kabhi, kar day shuoor-o-fik’r ko pakeezgi ata ya Rabb
Nahi hay Nama-e-Attar man koi naiki
Faqat hay teri hi Rahmat ka Aasra ya Rabb