Gham ho gaye be shumaar aaqa
bandah tairay Nisar aaqa
bigra jata hai khail mera
aaqa aaqa sanwaar aaqa
manjhdhar pay aake naaow tooti
day haath ke hon mein paar aaqa
halka hai agar hamara palla
bhaari hai tera Waqar aaqa
majboor hain hum to fikar kya hai
tum ko to hai ikhtiyar aaqa
mein daur hon tum to ho mere paas
sun lo meri pukaar aaqa
mujh sa koi gham zada nah hoga
tum sa nahi gham gsar aaqa
gardaab mein par gayi hai kashti
dooba, dooba, utaar aaqa
tum woh ke karam ko naz tum se
mein woh ke badi ko aar aaqa
phir mun nah parre kabhi khizaa ka
day day aisi bahhar aaqa
jis ki marzi kkhuda nah talaay
mera hai woh Namdar aaqa
hai malik kkhuda pay jis ka qabza
mera hai woh kaamgaar aaqa
soya kiye naabkaar bande
roya kiye zaar zaar aaqa
kya bhool hai ke unkay hotay kehlayen
duniya ke yeh Tajdar aaqa
unn ke adna gadda pay mit jayyn
aisay aisay hazaar aaqa
be abr karam ke mere dhabbay
laa taghsilhal bihaar aaqa
aap ke karam ki barish ke baghair mere gunaaho
ke daagh samndron ke pani se nahi dhul satke
itni rehmat Raza pay kar lo
laa yaqirro bihilbawar aaqa
itni rehmat Raza pay kar den ke
barbadi o halakat Raza ke qareeb nah aaye