Gunah gaaroon ko haataf say naveed-e-khush maali hay
Mubark ho shafaat kay liye ahmad sa waali hay
Qaza haq hay magar is shoq ka Allah waali hay
Jo un ki raah man jaye wo jaan Allah waali hay
Tera qadd-e-mubark gulban-e-Rahmat ki daali hay
Usay bo kar teray Rabb nay bina Rahmat ki daali hay
Tumhari sharam say shaan-e-jalaal haq tapakti hay
Kham-e-gardan hilaal-e-asmaan-e-zuljalaali hay
Zahay khud gum jo gum honay pe ye dhonday ke kia paya
Aray jab tak ke pana hay jabhi tak haath khaali hay
Man ik muhtaaj bay waqaat gada teray sag-e-dar ka
Teri sarkaar waala hay tera darbaar aali hay
Teri bakhshash pasandi uzar joi tobah khuwaaye say
Umoom-e-bay gunaahi juram shaan-e-la ubaali hay
Abu bakar-o-Umar, Usmaan-o-Haidar jis kay bulbul hain
Tera sarw-e-sahi us gulban-e-khoobi ki daali hay
Raza qismat hi khul jaaye jo geilan say khitaab aaye
Ke Tu adna sag-e-dargaah-e-khudaam-e-maali hay