Guzray jis raah wo sayyid-e-waala ho kar
Rah gaye saari zameen anbar-e-saara ho kar
Rukh-e-anwar ki tajalli jo qamar nay dekhi
Rah gaya bosah dah-e-naqsh-e-kaf-e-paa ho kar
Waye mahroomi qismat kay hain phir ab ki baras
Rah giya hamrah-e-zawwar-e-Madeenah ho kar
Chaman-e-Tayyibah hay wo baag ke murg-e-sidrah
Barsoon chehkay hain jahan bulbul-e-shaida ho kar
Sarsar-e-dasht-e-Madeenah ka magar aaya khiyaal
Rashk-e-gulshan jo bana guncha-e-dil wa ho kar
Gosh-e-shah kehtay hain faryaad rasi ko ham hain
Wada-e-chasham hay bakhshayen gay goya ho kar
Paye shah par giray ya rabb tapash-e-mahar say jab
Dil-e-bay taab urhay hashar man para ho kar
Hay umeed-e-Raza ko teri rahmat say shaha
Na ho zindani dozkh tera bandah ho kar