Hai Paak Rutba Fikr Se Us Beniyaz Ka

Hai Paak Rutba Fikr Se Us Beniyaz Ka
Kuchh Dakhl Aql Ka Hai, Na Kaam Imtiyaz Ka
 
Shah-Rag Se Kyuñ Visaal Hai Aañkhoñ Kyuñ Hijab
Kya Kaam Is Jagah Khirad-e Harza-Taaz ka
 
Labb Band Aur Dil Mein Woh Jalwe Bhare Hue
Allah Re! Jigar Tere Aagaah-e Raaz ka
 
Ghash aa gaya Kalim se Mushtaq e Ishq ko
Jalwa bhi Beniyaz hai Us Beniyaz ka
 
Har Shai Meiñ Haiñ ayaañ mere Saane’ ki San’ateñ
Aalam Sab aayinoñ mein hain Aayeena-Saaz ka
 
Aflaak o Arz sab tere farmañ-pazeer hain
Haakim hai Tu jahañ Ke Nasheb o Faraaz ka
 
Is bekasi mein Dil ko mere Teik lag gayi
Shohra suna jo Rahmat-e Bekas Niyaz ka
 
Manind-e sham’aa Teri taraf lau lagi hui
De lutf meri jaan ko Soz o Gudaaz ka
 
Tu behisaab bakhsh ke hain be jurm
Deta Hooñ wasta tujhe Shah-e-Hijaz
 
Bande pe tere nafs-e la’eeñ ho gaya muheet
Allah kar ilaaj mere. Hirs o Aaz ka
 
Kyuñ Kar Na Mere kaam baneñ ghaib se Hasan
Banda Bhi Hooñ To Kaise Bade Kaarsazm Ka

Warning: Use of undefined constant php - assumed 'php' (this will throw an Error in a future version of PHP) in /home/kalamdb/public_html/wp-content/themes/bulletin/urdu-single.php on line 46