ik mai.n hii nahii. un par qurbaan zamaana hai
jo rabb-e-do-a.alam kaa mahbuub-e-yagaana hai
kal jis ne hame.n pul se KHud paar lagaanaa hai
zohra kaa vo baabaa hai sibtain kaa naanaa hai
us haashmii duulhaa par kaunain ko mai.n vaaruu.n
jo husn-o-shamaa.il me.n yaktaa-e-zamaana hai
izzat se na mar jaa.e.n kyuu.n naam-e-mohamaad par
ham ne kisii din yuu.n bhii duniyaa se to jaanaa hai
aa.o dar-e-zohra par phailaa.e hu.e daaman
hai nasl kariimo.n kii laj-paal gharaanaa hai
huu.n shaah-e-madiina kii mai.n pusht-panaahii me.n
kyaa is kii mujhe parvaah dushman jo zamaana hai
ye kah ke dar-e-haq se lii maut me.n kuchh mohlat
miilaad kii aamad hai mahfil ko sajaanaa hai
qurbaan us aaqaa par kal hashr ke din jis ne
is ummat-e-aasii ko kamlii me.n chhupaanaa hai
sau baar agar tauba TuuTii bhii to hairat kyaa
baKHshish kii rivaayat me.n tauba to bahaana hai
har vaqt vo hai.n merii duniyaa-e-tasavvur me.n
ai shauq kahii.n ab to aanaa hai na jaanaa hai