Khda ka khof zik’r-e-Mustafa sarmaya-e-Usman
Sarwar-o-kaif Qurb-e-Mustafa sarmaya Usman
Bayan sarkar ki madhat sada, paraya-e-Usman
Na tha ayesa na ab hoga koi ham paya-e-Usman
Na tha aayenah dil par gubar-e-asbiat un ky
Agar che thya hareef-e-hashmi ajdaad sab un kay
Safa-e-batni un mukadar ho na sakta tha
Koi is dil man ab tukhum-e-riqabat boo na sakta tha
Jihalat kay andhairoon say nikal kar Noor man Aaye
Qaraabat wo miley do Noor walay Aap kehlaye
Qadam hijrat ka Makkah say nikala Aap ne pehlay
Habsh ko deen ka bakhsha ujaala Aap ne pehlay
Wo dor-e-jahiliyat jo bhara tha Aab-e-gulgoon say
Haya’e walay kay lab na aashna thay us kay afsoon say
Haya’e kay zik’r ka jab bhi koi unwaan hota tha
Lab-e-shaah-e-Madeenah par faqat usman hota tha
Nabi irshaad farmatay kitaabat Aap kartay thay
Barhi dushwaar thi manzil’ ba asaani guzartay thay
Ishaarah par nabi kay maal sab qurbaan ho jata
Jo hatim aaj hota, Aap ka darbaan ho jata
Yahoodi ko dia kul maal, shereen aab kay badlay
Huay sairaab tashnah lab Muslaman’ beer-e-roomah say
Banay wo bai’et-e-Rizwaan man Taaj-e-fakh’r ka Turrah
Nabi ne haath bai’et man jab un kay Naam par rakha
Maraakash say milay Kabul kay danday ah’d man jin kay
Huay islaam kay zair-e-nageen’ dunya kay ye hissay
Turabulus aur Africa bana islaam ka Hissah
Bagawat misir ki torhi’ fatah qabras bhi kar daala
Huwa jab koh-e-larzaan’ Mustafa ne us say farmaya
Ke tujh par ik Nabi’ Siddique ik aur ik shaheed Aaya
Shahdat mu’atbar thi’ ayek din ayesa bhi hona tha
Sar-e-tasleem apna kham kia’ ayesa bhi hona tha
Shahadat ka wo lamha’ wo tahmmul’ sab’r ka paikar
Jo akhlaaq-e-kareemana ka thehra aakhri manzar
فَسَیَکْفِیْکَھُمْ Aayat pe jab khoon aap ka tapka
Quran ka har waraq daaman ko phailaye huway lapka
Qiamat man karain gay log jab Quraan ki batain
Karain gay saath hi wo Hazrat-e-Usman ki baatain
Utar kar khoon kay darya man jo koi ubharta hay
Hata kar zeest kay parday ziyarat haq ki karta hay
Nahi marta Adeeb us raah man, jab koi marta hay
Wo kab marta hay jo raah-e-shahadat say guzarta hay