Kia theek ho rukh-e-Nabvi par misaal-e-gul

Kia theek ho rukh-e-Nabvi par misaal-e-gul
Pamaal jalwa-e-kaf-e-pa hay jamaaal-e-gul

Jannat hay un kay jalwa-e-say jo paye rang-o-boo
Aye gul hamaray gul say hay gul ko sawal-e-gul

Un kay qadam say sal’ea-e-gaali hui jinaan
Wallah meray gul say hay jaah-o-jalal-e-gul

Suntan hoon ishq-e-shaah man dil hoga khoon fashan
Ya Rabb ye mujdah sach ho Mubarak ho faal-e-gul

Bulbul-e-Haram ko chal gam faani say fayedah
Kab tak kahaige haye wo guncha-o-dalaal-e-gul

Gamgeen hay shauq-e-gaza-e-khaak-e-Madeenah man
Shabnam say dhul sakay gin a gird-e-malaal-e-gul

Bulbul ye kia kaha man kahan fas’l-e-gul kahan
Umeed rakh kea am hay jood-o-Nawaal-e-gul

Bulbul ghira hay abar-o-lamujdah ho ke ab
Girti hay aashyana pe barq-e-jamaal-e-gul

Ya Rabb hara bhara rahay daag-e-jigar ka baag
Har ma mah-e-bahaar ho har saal saal-e-gul

Rang-e-mujdah say kar kay khajal yaad-e-shah man
Khaincha hay ham ne kaantoon pe itar-e-jamaal-e-gul

Man yaad-e-shah-e-man rowon anadil karian hujoom
Har ashak-e-lala-e-faam pe ho ihtimaal-e-gul

Hain ak’s-e-chehrah say lab-e-gulgoon man surkhiyaan
Dooba hay badar-e-gul say shafq man hilaal-e-gul

Naat-e-Huzoor man mutrannam hay andleeb
Shakhoon kay jhoomne say eyaan wajad-o-haal-e-gul

Bulbul gul-e-Madeenah hamaishah bahar hay
Do din ki hay bahar fana hay maal-e-gul

Shaikhain idhar Nisar gani-o-ali udhar
Guncha hay bulbuloon ka yameen-o-shimaal-e-gul

Chahay khuda to payen gay ishq-e-Nabi man khuld
Nikli hay naama-e-dil-e-pur khoon man faal-e-gul

Kar us ki yaad jis say milay chain andleeb
Daikha nahi ke khaar-e-alam hay khiyaal-e-gul

Daikha thaa khawaab-e-khaar-e-Haram andleeb ne
Khatka kia hay aankh man shab bhar khiyaal-e-gul

Un do ka sadqah jin ko kaha meray phool hain
Kejiye Raza ko hashar man khandan misaal-e-gul


Warning: Use of undefined constant php - assumed 'php' (this will throw an Error in a future version of PHP) in /home/kalamdb/public_html/wp-content/themes/bulletin/urdu-single.php on line 46