Lab par naat pak ka naghma kal bhi tha aur aaj bhi hai

lab par naat pak ka naghma kal bhi tha aur aaj bhi hai
mere nabi se mera rishta kal bhi tha aur aaj bhi hai
 
aur kisi janib kyun jayen aur kisi ko kyun dekhen
apna sab kuch gunbad khizry kal bhi tha aur aaj bhi hai
 
pust woh kaisay ho sakta hai jis ko haq ne buland kya
dono jahan mein unn ka charchaa kal bhi tha aur aaj bhi hai
 
fikar nahi hai hum ko kuch bhi dukh ki dhoop kari to kya
hum par unn ke fazl ka saya kal bhi tha aur aaj bhi hai
 
batla do gustaakh nabi ko ghairat muslim zindah hai
unn par mar mitne ka jazba kal bhi tha aur aaj bhi hai
 
jin aankhon se tayyiba dekha woh ankhen be taab hain phir
un aankhon mein aik taqaza kal bhi tha aur aaj bhi hai
 
sab ho aaye un ke dar se ja nah saka to aik Sabih
yeh ke ik tasweer tamanna kal bhi tha aur aaj bhi hai

Warning: Use of undefined constant php - assumed 'php' (this will throw an Error in a future version of PHP) in /home/kalamdb/public_html/wp-content/themes/bulletin/urdu-single.php on line 46