Madhat un ki Rahmat bhi hay bakhshash ka saman bhi hay
Ish’q ki dastaweez bhi hay aur aashiq ki pechan bhi hay
Meri bhala auqaat hi kia jo un ki Sana man lab kholoon
Ye to unhain ka lutuf-o-karam hay aur un ka ihsaan bhi hay
Ayesi koi shay paas nahi jo nazar man un ko paish karoon
Yoon kehnay ko qal’b-o-jigar han jism bhi hay aur jaan bhi hay
Paas-e-adab rakh apni hadoon say barh kar koi baat na kar
Un ki hadoon tak janay walay apni tujhay pehchan bhi hay
Zik’r man un kay koi adab ka daman haath say chorhay to
Meri zuban talwar bhi hay aur taqleed-e-hassan bhi hay