Main tuo Panjatan ka ghulaam huon

Main tuo Panjatan ka ghulaam huon
Mujhay ishq hey to Khuda sey hey, mujhey ish’q hey to Rasool hey
Merey munh sey aaey Mahak sadaa, juo main Naam luon tera bhool ke
Mujhey ish’q sar-wo-saman se heyn, mujhay ish’q sarey chaman sey heyn
Mujhay ishq Un ki gali sey hey, mujhay ishq hey Un key watan sey hey
Mujhey ish’q heyn to Ali sey hey, mujhey ish’q hey to Hassan sey hey
Mujhey ish’q hey to Husaiyn sey, mujhay ish’q Shah-e-Zaman sey hey
Men to panjatan ka ghulaam huon
Huwa kesey Tan sey wo Sar judaa, jahan ish’q ho wahein Kar’bala
Meri baat un hi ki baat hey, merey saamnay Wo hi zaat hey
Wo jin ko shayr-e-Khuda kaheyn, jinhein Baab-e- Salle-Alaa kaheyn
Wo jin ko aal-e-Nabi kaheyn, wo jin ko zaat-e-Ali kahein
Wo hi puk’ta heyn meyn tuo khaam hun
Meyn to Panjatan ka ghulaam hun