Man teray husun-e-karam aur inayatoon kay nisar

Man teray husun-e-karam aur inayatoon kay nisar
Ho meray rang man sa’adi kay gulustan ki bahar

Kalaam-e-arif-e-urfi ka pairhan ban jaon
Man zuluf-e-naat ki khushboo say shab dulhan ban jaon

Siwa Huzoor koi khawab man bhi aaye na Gair
Tufail burda-e-Altaf bar Imam-e-Boseer

Teray karam kay Tasdduq, kar aur ik ihsaan
Ke meri fikir pe saaya figan rahain Hassan

Tamaam umar wo Naatoon ka ihtimam rahay
Ke meray gird firishtoon ka izdihaam rahay

Tufail-e-Shaah-e-Umam,jin pe sad salaam-o-durood
Adeeb ka bhi Thana man maqam ho Mahmood