Mujh pe bhii chashm-e-karam ai mire aaqaa karnaa

mujh pe bhii chashm-e-karam ai mire aaqaa karnaa

haq to meraa bhii hai rahmat kaa taqaaza karnaa

mai.n ki zarra huu.n mujhe vus’at-e-sahraa de-de

ki tire bas me.n hai qatre ko bhii dariyaa karnaa

mai.n huu.n bekas teraa sheva hai sahaaraa denaa

mai.n huu.n biimaar teraa kaam hai achchhaa karnaa

tuu kisii ko bhii uThaataa nahii.n apne dar se

ki tirii shaan ke shaayaa.n nahii.n aisaa karnaa

tere sadqe vo usii ra.ng me.n KHud hii Duubaa

jis ne jis ra.ng me.n chaahaa mujhe rusvaa karnaa

ye tiraa kaam hai ai aamna ke durr-e-yatiim

saarii ummat kii shafaa’at tan-e-tanhaa karnaa

aal-o-ashaab kii sunnat miraa me’yaar-e-vafaa

tirii chaahat ke ‘evaz jaan kaa saudaa karnaa

shaamil-e-maqsad-e-taKHliiq ye pahluu bhii rahaa

bazm-e-aalam ko sajaa kar teraa charchaa karnaa

mujh pe mahshar me.n ‘nasiir’ un kii nazar pa.D hii ga.ii

kahne vaale use kahte hai.n KHudaa kaa karnaa


Warning: Use of undefined constant php - assumed 'php' (this will throw an Error in a future version of PHP) in /home/kalamdb/public_html/wp-content/themes/bulletin/urdu-single.php on line 46