Mujh sa Aajiz Madah-e-Mamdooh-e-Khuda likhta raha
Aur kia likhta’ وَرَفَعۡنَا لَکَ likhta raha
Hamd man likhta raha Naat-e-Habeeb-e-Kibriya
Naat kay she’aroon man bhi Hamd-e-Khuda likhta raha
Zihin ko thi justujoo alfaz ki shayan-e-shayan
Man tha chup’ mera qalam Sall-e-ala likhta raha
Raushnaye ashk thi aur nok-e-mazgan thi qalam
Is tarah bhi aek shab un ki thana likhta raha
Kiyoon pukaray gair ko apni madad kay wastay
Umar bhar jis ka qalam Ya Mustafa likhta raha
Fik’r-o-fan bay bas nazar aaye mujhay us raah man
Ish’q tha jo kia say kia aur kia say kia likhta raha
Shaiwa-e-jood-o-karam ki baat jab nikli adeeb
Mujh pe jo guzri man apna majra likhta raha