Paat wo kuch dhar ye kuch zaar ham ya Ilahi kiyoon kar utrain paar ham

Paat wo kuch dhar ye kuch zaar ham ya Ilahi kiyoon kar utrain paar ham
Kis bala ki may say hian sar shaar ham din dhahla hotay nahi hushiyar ham
Tum karam say mushtari har ayeb kay jins-e-Na maqbool-e-har bazaar ham
Dushmanoon ki aankh man bhi phool tum dostoon ki bhi nazar man khaar ham
Lagsh-e-pa ka shara ayek Tum girnay walay lakhoon nahanjaar ham
Sadqa apnay bazoon ka Al madad kesay torhain ye but-e-pandaar ham
Dam qadam ki khair aye jaan-e-maseeh dar pe laye hain dil-e-beemaar ham
Apni Rahmat ki taraf daikhin huzoor jantay hain jesay hain badkaar ham
Apnay mehmanoon ka sadqa ayek boond mar mitay piyasay idhar sarkar ham
Apnay kocha say nikal to na do hain to had bhar kay Khudaye khuwar ham
Hath utha kar ayek tukrha aye kareem hain sakhi kay maal man haqdaar ham
Chandni chatki hay un kay Noor ki Ao daikhain sair Toor-o-naar ham
Himmat aye zu’ef un kay dar par giray hoon bay takalluf saya-e-deewar ham
Ba ata tum shah tum Mukhtar tum bay nawa ham zaar ham nachar ham
Tum ne lakhoon ko janain phair dain ayesa kitna rakhtay hain Aazar ham
Apni sattari ka ya Rabb wasita hoon na ruswa bar sar-e-darbar ham
Itni ar’z-e-aakhri keh do koi nao tooti aa parhay munjdhar ham
Munh bhi daikha hay kisi kay af’w ka daikh aoo isyaan nahi bay yaar ham
Man Nisar musliman keyjiye torh dalain gay nafs ka znnar ham

Kab say phailaye hain daman teeg ishq ab to payen zakham daman daar ham
Sunniat say khatkay sab ki aankh man phool ho kar ban gay kia khaar ham
Natwani ka bhala ho ban gay naqsh paye talibaan-e-yaar ham
Dil kay tukrhay nazar-e-hazir laye han aye sagaan-e-kocha-e-dildar ham
Qismat-e-saur-o-haraam ki hirs hay chahtay hain dil man gehra gaar ham
Chasham poshi-o-karam shaan-e-shuma kaar-e-ma bay baki-o-israar ham
Fas’l-e-gul sabza saba masti shabaab chorhain kis dil say dar khumaar ham
Makadah chuteta hay lillah saqia ab kay sagar say na hoon hushiyar ham
Naazashain kartay hain aapas man malak hain gulaman-e-shah-e-abrar ham
Lutuf-e-az Khud raftagi ya Rabb naseeb hoon shaheed jalwa-e-riftaar ham
Un kay aagay da’wa hasti Raza
Kia bakay jata hay ye har baar ham


Warning: Use of undefined constant php - assumed 'php' (this will throw an Error in a future version of PHP) in /home/kalamdb/public_html/wp-content/themes/bulletin/urdu-single.php on line 46