Palak jhapkti rahi wo kab kay sab aen-o-aan say

Palak jhapkti rahi wo kab kay sab aen-o-aan say guzar chukay thay
Jhalak si ik qudsiyoon par Aaye hawa bhi daman ki phir na paye
Sawari dulha ki door puhunchi barat man hosh hi gay thay
Thakay thay Rooh-ul-Ameen kay bazoo chuta wo daman kahan wo pahloo
Rikaab chooti umeed Tooti Nigah-e-Hasrat kay wilwilay thay
Rawish ki garmi ko jis nay socha dimag say ik bhabhoo ka phoota khird kay jangal man phool chamka dahar dahar pairh jal rahay thay
Jilwa man murg-e-aqal urhay thay jab buray Haloon girtay parhtay
Wo sidrah hi par rahay thay thak kar charha tha dam taiwar aa gay thay
Qawi thay murgan-e-waham kay par urhay to urhnay ko aur dam bhar
Uthaye seenay ki ayesi thokar ke khoon-e-andaisha thooktay thay suna ye itnay man ar’sh-e-Haq ne kaha Mubarak ho Taaj walay!
Wo hi Qadam khair say phir Aaye jo pehlay Taaj-e-sharaf tiray thay
Qaseedah-e-me’raaj part/7