Raah pur khaar kia hona hay paoun afgaar hay kia hona hay

Raah pur khaar kia hona hay paoun afgaar hay kia hona hay
Khushuk hay khoon ke dushman zaalim sakh’t khoonkhuwaar hay kia hona hay
Ham ko bid karo hi karna jis say dost baizaar hay kia hona nay
Tan ki ab kon khabar lay hay hay dil ka aazar hay kia hona hay
Methay sharbat day maseeha jab bhi zid hay inkaar hay kia hona hay
Dil ke teemaar hamara karta aap beemar hay kia hona hay
Par katay tang qaf’s aur bulbul no griftaar hay kia hona hay
Chup kay logoon say kiye jis kay gunaah wo khabar daar hay kia hona hay
Aray ao mujrim bay parda daikh sar pe talwaar hay kia hona hay
Teray beemar ko meray esa gash lagataar hay kia hona hay
Naf’s par zor ka wo zor aur dil zair hay zaar hay kia hona hay
Kaam zindaan kay kiye aur hamain shauq-e-gulzaar hay kia hona hay
Haye ray neend musaafir teri kauch Tayyar hay kia hona hay
Door jaana hay raha din thorha raah dushwaar hay kia hona hay
Ghar bhi jana hay musaafir ke nahi mat pe kia maar kia hona hay
Jaan halkaan hoi jaati hay baar sa baar hay kia hona hay
Paar jana hay nahi milti naao zor par dhaar hay kia hona hay
Raah to teeg par aur talwoon ko gila-e-khaar hay kia hona hay
Roshni ki hamain aadat aur ghar terah-o-taar hay kia hona hay
Beech man aag ka darya hayel qasd is paar hay kia hona hay
Is karhi dhoop ko kiyoon kar jheelain shulah zan naar hay kia hona hay
Haye bigrhi to kahan aakar naao ain munjdhaar hay kia hona hay
Kal to deedar ka din aur yahan aankh bay kaar hay kia hona hay
Munh dikhanay ka nahi aur sahar aam darbaar hay kia hona hay
Un ko raham aaye to aaye warna wo karhi maar hay kia hona hay
Lay wo hakim kay sipaahi aaye subuh izhaar hay kia hona hay
Waan nahi baat banane ki majaal charah iqraar hay kia hona hay
Saath waloon ne hamain chorh dia bay kasi yaar hay kia hona hay
Aakhri deeda hay aao mil lain ranj bay kaar hay kia hona hay
Dil hamain tum say lagana hi na tha ab safar baar hay kia hona hay
Jaanay waloon pe ye rona kesa bandah naachar hay kia hona hay
Naza’e man dhiyaan na bat jaaye kahin ye abas piyaar hay kia hona hay
Is ka gam hay k har ik ki soorat galay ka haar hay kia hona hay
Baatain kuch aur bhi tum say kartay par kahan waar hay kia hona hay
Kiyoon Raza kurhahtay ho hanstay utho
Jab wo Gaffar hay kia hona hay


Warning: Use of undefined constant php - assumed 'php' (this will throw an Error in a future version of PHP) in /home/kalamdb/public_html/wp-content/themes/bulletin/urdu-single.php on line 46