Rukh din hai ya mohar sama hamza yeh bhi nahi woh bhi nahi

Rukh din hai ya mohar sama hamza yeh bhi nahi woh bhi nahi
shab zulff ya mushk khata yeh bhi nahi woh bhi nahi

mumkin mein yeh qudrat kahan wajib mein abdiyyat kahan
heraan hon yeh bhi khata yeh bhi nahi woh bhi nahi

haq yeh ke hain Abdul ala aur aalam e imkaan ke Shah
barzakh hain woh sir khuda ye bhi nahi woh bhi nahi

bulbul ne Gul un ko kaha qamri ny sarwar o jaan fiza
herat ne jhungula kar kaha yeh bhi nahi woh bhi nahi

Khurshid tha kis zor par kya barh ke chamka tha Qamar
be parda jab woh rukh sun-hwa yeh bhi nahi woh bhi nahi

dar tha ke isiyaan ki saza ab ho gi ya roz jaza
di un ki rehmat ne sada yeh bhi nahi woh bhi nahi

koi hai Nazaan Zuhad par ya husn tauba hai super
yaan hai faqat teri ataa yeh bhi nahi woh bhi nahi

din lahoo mein khona tujhe shab subah tak sona tujhe
sharam nabi khauf kkhuda yeh bhi nahi woh bhi nahi

rizaq kkhuda khaya kya farmaan haq taalla kya
shukar karam taras saza yeh bhi nahi woh bhi nahi

hai bulbul rangin Raza ya toti naghma serra
haq yeh ke wasif hai tera ye bhi nahi woh bhi nahi


Warning: Use of undefined constant php - assumed 'php' (this will throw an Error in a future version of PHP) in /home/kalamdb/public_html/wp-content/themes/bulletin/urdu-single.php on line 46